agni pariksha
aur har shab usī aag se
ab guzartā huuñ maiñ
an-kiye paap kī
yuuñ sazā kāTtā huuñ
ki shāyad kisī sub.h
shīshe ko dekhūñ
to māthe pe mere ye kālak na ho
raam kī nīchī nazreñ uTheñ
aur chhamā ke hasīñ phuul
mujh par nichhāvar kareñ
qahr-e-ātish
bane bhaag bahrūpiye kā
magar kaash dil maan le
maiñ vo siitā nahīñ huuñ
jise sirf ik baar
is imtihāñ se guzarnā paḌā thā
ki merā haran to
isī tarah har roz hogā
ki har sub.h rāvan hai
har raat agnī parikshā muqaddar mirā
aur har shab usi aag se
ab guzarta hun main
an-kiye pap ki
yun saza kaTta hun
ki shayad kisi subh
shishe ko dekhun
to mathe pe mere ye kalak na ho
ram ki nichi nazren uThen
aur chhama ke hasin phul
mujh par nichhawar karen
qahr-e-atish
bane bhag bahrupiye ka
magar kash dil man le
main wo sita nahin hun
jise sirf ek bar
is imtihan se guzarna paDa tha
ki mera haran to
isi tarah har roz hoga
ki har subh rawan hai
har raat agni pariksha muqaddar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.