ahad-nama-e-imroz
aur phir yuuñ huā
din kā uglā pahar sabz zaitūn kī chhāñv meñ kaaT kar
ibn-e-ādam uThā
apne ik haath meñ saañp aur dūsre haath meñ
ik mamolā liye
arsh kī samt jaate hue
muḌ ke vaadī ke logoñ se us ne kahā
''mujh pe īmān laao ḳhudā mar chukā hai
ye aflāk o āfāq kā baar ab mere shānoñ pe hai
mahr o maah o kavākib sabhī mere āyāt haiñ''
aur vaadī ke logoñ meñ kuchh log daanā the īmān le aa.e
kuchh kashmakash meñ rahe
aur kitne hī aise bhī the jo ḳhud apnī sadāoñ meñ gum
ibn-e-ādam kī āvāz se duur the
aur phir yuuñ huā
chaar āfāq se ik ghanā abr uThā
aur vaadī pe ik sā.ebāñ kī tarah tan gayā
aur zamīñ jaise tapne lagī
aur vaadī ke sab log ghabrā ga.e
aisī āvāz meñ jaise sakrāt meñ saañs kī fasl ko
kāTtā ho koī
ibn-e-ādam ko sab ne pukārā ki
ye maut ke kaale dhakne kī mānind āñkhoñ pe rakkhā huā
abr kaisā hai?
tannūr par ek tāñbe kī thālī kī mānind taptī zamīñ kis liye!
dekh ham log aise larazte haiñ sīnoñ meñ īmān
jaise larazte hoñ
ye kaisā aaseb hai!!
in kī āvāz lauT aa.ī
phir kāñpte tilmilāte dhaḌakte diloñ se ye sab ne sunā
''abr se zahr barsegā
taptī zamīñ aur dahkegī
vaadī kā har ġhuncha mar jā.egā
ḳhaak ke rahm meñ saañs letā huā āfrīnash kā har biij
mar jā.egā''
ye sadā.eñ ufuq-tā-ufuq guuñj uThīñ
aur sab ne sunīñ
un meñ daanā bhī the
jin kī dānā.iyāñ tan-barhana kuñvārī kanīzoñ kī mānind
lab-basta thiiñ
aur vo log bhī in meñ maujūd the
kashmakash jin ke dil kī gunahgār jismoñ ke
ma.asūm bachchoñ kī mānind hairān thī
aur kitne hī vo bhī the
ma.asūmiyat jin kī faulād-paikar ġhulāmoñ kī mānind
maqtūl thī
aur phir yuuñ huā
sab kī nazreñ uThīñ jis taraf
apne ik haath meñ arz-e-mahkūm aur dūsre haath meñ
jauharī bam liye
ibn-e-ādam khaḌā thā kisī ātishīñ peḌ kī chhāñv meñ
nīche vaadī meñ ik shor thā
''vo hamārā ḳhudā ham ko lauTāo
taskīn kī koī sūrat to ho
koī chhat koī saaya koī sā.ebāñ
kuchh to ho jis ke zulmāt meñ chhup ke ham
zindagī kaaT leñ
aur ye abr āñkhoñ se ojhal rahe''
vo hamārā ḳhudā ham ko lauTāo
vaadī kā ye shor baḌhtā rahā
shor kartī huī bhiiḌ meñ vo bhī the
jin ke īmān mazbūt the
aur phir yuuñ huā
ibn-e-ādam ne dekhā ki
vaadī meñ sadiyoñ kā būḌhā ḳhudā phir se maujūd thā
aur phir yun hua
din ka ugla pahar sabz zaitun ki chhanw mein kaT kar
ibn-e-adam uTha
apne ek hath mein sanp aur dusre hath mein
ek mamola liye
arsh ki samt jate hue
muD ke wadi ke logon se us ne kaha
mujh pe iman lao KHuda mar chuka hai
ye aflak o aafaq ka bar ab mere shanon pe hai
mahr o mah o kawakib sabhi mere aayat hain
aur wadi ke logon mein kuchh log dana the iman le aae
kuchh kashmakash mein rahe
aur kitne hi aise bhi the jo KHud apni sadaon mein gum
ibn-e-adam ki aawaz se dur the
aur phir yun hua
chaar aafaq se ek ghana abr uTha
aur wadi pe ek saeban ki tarah tan gaya
aur zamin jaise tapne lagi
aur wadi ke sab log ghabra gae
aisi aawaz mein jaise sakraat mein sans ki fasl ko
kaTta ho koi
ibn-e-adam ko sab ne pukara ki
ye maut ke kale dhakne ki manind aankhon pe rakkha hua
abr kaisa hai?
tannur par ek tanbe ki thaali ki manind tapti zamin kis liye!
dekh hum log aise larazte hain sinon mein iman
jaise larazte hon
ye kaisa aaseb hai!!
in ki aawaz lauT aai
phir kanpte tilmilate dhaDakte dilon se ye sab ne suna
abr se zahr barsega
tapti zamin aur dahkegi
wadi ka har ghuncha mar jaega
KHak ke rahm mein sans leta hua aafrinash ka har bij
mar jaega
ye sadaen ufuq-ta-ufuq gunj uThin
aur sab ne sunin
un mein dana bhi the
jin ki danaiyan tan-barhana kunwari kanizon ki manind
lab-basta thin
aur wo log bhi in mein maujud the
kashmakash jin ke dil ki gunahgar jismon ke
masum bachchon ki manind hairan thi
aur kitne hi wo bhi the
masumiyat jin ki faulad-paikar ghulamon ki manind
maqtul thi
aur phir yun hua
sab ki nazren uThin jis taraf
apne ek hath mein arz-e-mahkum aur dusre hath mein
jauhari bam liye
ibn-e-adam khaDa tha kisi aatishin peD ki chhanw mein
niche wadi mein ek shor tha
wo hamara KHuda hum ko lauTao
taskin ki koi surat to ho
koi chhat koi saya koi saeban
kuchh to ho jis ke zulmat mein chhup ke hum
zindagi kaT len
aur ye abr aankhon se ojhal rahe
wo hamara KHuda hum ko lauTao
wadi ka ye shor baDhta raha
shor karti hui bhiD mein wo bhi the
jin ke iman mazbut the
aur phir yun hua
ibn-e-adam ne dekha ki
wadi mein sadiyon ka buDha KHuda phir se maujud tha
- Book : aaina dar aaina (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.