ahamadabaad
aag kā zā.iqa har zabāñ par sulagtā huā zaḳhm thā
raat kā āhanī dar samundar kī jānib khulā
aag hī aag thī
qatra-e-āb pur-kār sā ḳhvāb thā
raat kā āhanī dar jahannum kī jānib khulā
rāstoñ ne kahā kyuuñ hujūm-e-farāvāñ kā anjām ibrat huā
kaun ibrat ke ehsās ko māntā
maut ko zindagī zindagī ko jahannum fasāna tamasḳhur kā hairat huā
ham-safar the vo ek dūsre ke liye
qurb un kā magar ātish-e-ḳhauf thā
mauj se mauj laḌtī huī
mauj se mauj naddī ke ālām meñ jaise Dhaltī huī
khiḌkiyāñ rahguzar par muqaddar kī mānind khultī raheñ
jo tamāshā.ī un ke añdheroñ se ubhrā vo jaltā gayā
vo to nanhā thā ma.asūm thā
us ko sūraj kā yā chāñd kā aks sab ne kahā
vo bhī jalne lagā vo bhī bahte lahū meñ pighalne lagā
vo to nanhā thā ma.asūm thā
vo masīhā thā vo āḳhirī nuur thā us kī taqdīr meñ
marg be-kār kyuuñ aaj likkhī ga.ī
aag ka zaiqa har zaban par sulagta hua zaKHm tha
raat ka aahani dar samundar ki jaanib khula
aag hi aag thi
qatra-e-ab pur-kar sa KHwab tha
raat ka aahani dar jahannum ki jaanib khula
raston ne kaha kyun hujum-e-farawan ka anjam ibrat hua
kaun ibrat ke ehsas ko manta
maut ko zindagi zindagi ko jahannum fasana tamasKHur ka hairat hua
ham-safar the wo ek dusre ke liye
qurb un ka magar aatish-e-KHauf tha
mauj se mauj laDti hui
mauj se mauj naddi ke aalam mein jaise Dhalti hui
khiDkiyan rahguzar par muqaddar ki manind khulti rahen
jo tamashai un ke andheron se ubhra wo jalta gaya
wo to nanha tha masum tha
us ko suraj ka ya chand ka aks sab ne kaha
wo bhi jalne laga wo bhi bahte lahu mein pighalne laga
wo to nanha tha masum tha
wo masiha tha wo aaKHiri nur tha us ki taqdir mein
marg be-kar kyun aaj likkhi gai
- Book : Lambi Barish (Pg. 86)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.