ahmad-faraaz marhum ki nazr
tarab-faroz nazāroñ se duur kosoñ duur
jahāñ na qahqaha koī na koī sargoshī
faqat sukūt kā ik silsila chahār taraf
fazā ke hoñToñ pe hai sabt mohr-e-ḳhāmoshī
zabān-sāz hai gung aur naġhmagī chup hai
fazā-e-shahr-e-ḳhamoshāñ meñ zindagī chup hai
azal se tā-ba-abad silsila yahī hogā
gulāb ḳhaak se ug kar milegā miTTī meñ
gulāb surḳh ho yā kāsnī yā ‘unnābī
marūr-e-vaqt se mil ke rahegā miTTī meñ
yahī hai ramz-e-mashiyyat yahī hayāt kā raaz
yahī fanā kī haqīqat yahī sabāt kā raaz
havā-e-tund ke hāthoñ se jabr kī miqrāz
charāġh-e-gor-e-ġharībāñ kī lau katartī hai
mirī nigāh usī malgaje ujāle meñ
pahuñch ke marqad-e-tāza pe jab Thahartī hai
savāl dil ne kiyā marqad-e-‘farāz’ ye hai
nigah ne dil se kahā marqad-e-'farāz' ye hai
vo mard-e-ḳhalvat-o-jalvat vo mard-e-lauh-o-qalam
vo mard-e-nek-'amal aah mard-e-nek-bayāñ
maiñ apne aap ko bahlā.ūñ laakh ye kah ke
fan-e-'farāz' hai zinda magar 'farāz' kahāñ
mirī mizha pe larazte hue jo taare haiñ
'farāz' aap ke marqad kī nazr saare haiñ
tarab-faroz nazaron se dur koson dur
jahan na qahqaha koi na koi sargoshi
faqat sukut ka ek silsila chahaar taraf
faza ke honTon pe hai sabt mohr-e-KHamoshi
zaban-saz hai gung aur naghmagi chup hai
faza-e-shahr-e-KHamoshan mein zindagi chup hai
azal se ta-ba-abad silsila yahi hoga
gulab KHak se ug kar milega miTTi mein
gulab surKH ho ya kasni ya ‘unnabi
marur-e-waqt se mil ke rahega miTTi mein
yahi hai ramz-e-mashiyyat yahi hayat ka raaz
yahi fana ki haqiqat yahi sabaat ka raaz
hawa-e-tund ke hathon se jabr ki miqraaz
charagh-e-gor-e-ghariban ki lau katarti hai
meri nigah usi malgaje ujale mein
pahunch ke marqad-e-taza pe jab Thaharti hai
sawal dil ne kiya marqad-e-‘faraaz’ ye hai
nigah ne dil se kaha marqad-e-'faraaz' ye hai
wo mard-e-KHalwat-o-jalwat wo mard-e-lauh-o-qalam
wo mard-e-nek-'amal aah mard-e-nek-bayan
main apne aap ko bahlaun lakh ye kah ke
fan-e-'faraaz' hai zinda magar 'faraaz' kahan
meri mizha pe larazte hue jo tare hain
'faraaz' aap ke marqad ki nazr sare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.