ahwal
Interesting Fact
(بلوچ دشت نورد آمنے سامنے کی سمتوں سے آتے ہوئے جب ایک دوسرے سے ملتے ہیں تو رک کر کر گزرے ہوئے سفر کے مقامات ،احوال کا باہم مختصر تذکرہ ضرور کرتے ہیں یہ گفتگو احوال کہلاتی ہے)
hameñ kyā chāñdnī kī raat
kyā rātoñ kī tārīkī
bas itnā hai ki raushan raat meñ
gar tez chalnā hī zarūrī ho to chal sakte haiñ
varna chāñdnī kī zard chādar meñ chhupe
bhedoñ bhare fitne
safar karne nahīñ dete
añdhere meñ
hameñ fitnoñ ke sar par paañv rakh kar
baḌhte jaanā
dasht meñ āsān rahtā hai
hamein kya chandni ki raat
kya raaton ki tariki
bas itna hai ki raushan raat mein
gar tez chalna hi zaruri ho to chal sakte hain
warna chandni ki zard chadar mein chhupe
bhedon bhare fitne
safar karne nahin dete
andhere mein
hamein fitnon ke sar par panw rakh kar
baDhte jaana
dasht mein aasan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.