ai arz-e-watan
vābasta tire naam se shā.ir kā qalam hai
ai paak vatan tujh se mire fan kā bharam hai
tū jannat-e-afkār hai pindār-e-iram hai
tere liye hāzir hai shahīdoñ kā hunar bhī
tū ġhāziyoñ ke jauhar-e-yaktā kā asar bhī
haañ markaz-e-īsār hai iḳhlās kā ghar bhī
phir kis kī nazar terī javānī ko lagī hai
bharpūr bahāroñ kī nishānī ko lagī hai
ye aag to bahte hue paanī ko lagī hai
iqbāl kī āñkhoñ meñ sulagte hue aañsū
dukh qā.id-e-āzam ko mirā kaT gayā baazū
tauhīd ke farzand haiñ bikhre hue har sū
tahrīk-e-amal hai na kahīñ fikr-e-baqā hai
maazī kī rivāyāt se ab kaam hī kyā hai
bhaa.ī bhī har-ik baat meñ bhaa.ī se judā hai
uTTho ki adū shahr kī dīvār tak aaya
ik shor sā ab kūcha-o-bāzār tak aaya
saffāk irādoñ kā hunar daar tak aaya
jo is kī taraf haath uThe toḌ ke rakh do
jo tiir chale us kī anī moḌ ke rakh do
dushman kī agar aañkh uThe phoḌ ke rakh do
maanā ki javānī tirī kāñToñ meñ tulī hai
chuntā huuñ tirā dard ki ab aañkh khulī hai
ai arz-e-vatan tū mire ashkoñ se dhulī hai
maiñ terī mohabbat kā asar aam karūñgā
ye zinda-e-jāved hunar aam karūñgā
phir nūr-e-nazar rang-e-sahar aam karūñgā
wabasta tere nam se shair ka qalam hai
ai pak watan tujh se mere fan ka bharam hai
tu jannat-e-afkar hai pindar-e-iram hai
tere liye hazir hai shahidon ka hunar bhi
tu ghaziyon ke jauhar-e-yakta ka asar bhi
han markaz-e-isar hai iKHlas ka ghar bhi
phir kis ki nazar teri jawani ko lagi hai
bharpur bahaaron ki nishani ko lagi hai
ye aag to bahte hue pani ko lagi hai
iqbaal ki aankhon mein sulagte hue aansu
dukh qaid-e-azam ko mera kaT gaya bazu
tauhid ke farzand hain bikhre hue har su
tahrik-e-amal hai na kahin fikr-e-baqa hai
mazi ki riwayat se ab kaam hi kya hai
bhai bhi har-ik baat mein bhai se juda hai
uTTho ki adu shahr ki diwar tak aaya
ek shor sa ab kucha-o-bazar tak aaya
saffak iradon ka hunar dar tak aaya
jo is ki taraf hath uThe toD ke rakh do
jo tir chale us ki ani moD ke rakh do
dushman ki agar aankh uThe phoD ke rakh do
mana ki jawani teri kanTon mein tuli hai
chunta hun tera dard ki ab aankh khuli hai
ai arz-e-watan tu mere ashkon se dhuli hai
main teri mohabbat ka asar aam karunga
ye zinda-e-jawed hunar aam karunga
phir nur-e-nazar rang-e-sahar aam karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.