ai dost
tirī sarisht meñ muzmar hai garmī-e-parvāz
falak ke chāñd sitāroñ ko chuum le uTh kar
adā-e-fitrat-e-mā'sūm kī na kar tauhīn
ziyā-faroz nazāroñ ko chuum le uTh kar
tire shu'ūr pe haavī hai kyoñ ġham-e-fardā
nazar-navāz bahāroñ ko chuum le uTh kar
nigāh-e-‘ishq meñ ye imtiyāz kaisā hai
guloñ kī bazm meñ ḳhāroñ ko chuum le uTh kar
kahāñ kahāñ se vo ho kar ga.e haiñ kyā mā'lūm
tamām rāh-guzāroñ ko chuum le uTh kar
teri sarisht mein muzmar hai garmi-e-parwaz
falak ke chand sitaron ko chum le uTh kar
ada-e-fitrat-e-ma'sum ki na kar tauhin
ziya-faroz nazaron ko chum le uTh kar
tere shu'ur pe hawi hai kyon gham-e-farda
nazar-nawaz bahaaron ko chum le uTh kar
nigah-e-‘ishq mein ye imtiyaz kaisa hai
gulon ki bazm mein KHaron ko chum le uTh kar
kahan kahan se wo ho kar gae hain kya ma'lum
tamam rah-guzaron ko chum le uTh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.