ai gham-e-dil kya karun
jis pe bhī Dālūñ nazar vo shaḳhs ghabrāyā lage
jis ko dekhūñ zindagī se jaise tang aaya lage
ġham kā maarā har koī ḳhushiyoñ kā Thukrāyā lage
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
fāqa-mastī tang-dastī kā hai charchā chār-sū
mar ga.ī hai ab diloñ se zindagī kī aarzū
ho gayā hai ḳhushk insānoñ ke jismoñ kā lahū
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
bachche galiyoñ meñ phireñ āvāra kuttoñ kī tarah
aur saḌkoñ par bikeñ kuchh jism phūloñ kī tarah
koī taḌpe bhuuk se zaḳhmī parindoñ kī tarah
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
zulm karte haiñ sabhī ab mehrbānī kī jagah
zillateñ miltī haiñ aksar qadrdānī kī jagah
āsmāñ bhī aag barsātā hai paanī kī jagah
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
rishvatoñ kī Thokaroñ meñ haiñ usūloñ ke mazār
ab nahīñ qānūn meñ talvār kī sī tez dhaar
kho diyā hai aaj ke insān ne apnā vaqār
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
is na.ī tahzīb ne paidā kiye ujle samāj
kis anokhe Dhang se badlā hai duniyā kā rivāj
husn be-parda huā hai ishq āvāra-mizāj
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
aadmī ḳhud hī parastār-e-jahālat ban gayā
mandir-o-masjid kā jhagḌā ek aadat ban gayā
dharm to ik pyaar thā jo aaj nafrat ban gayā
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
hind ho yā paak ho yā ruus ho yā bahr-e-rūm
jis taraf uThtī haiñ nazreñ haiñ vahāñ fitnoñ kī dhuum
aadmī ke fe.al se sahme haiñ ab māh-o-nujūm
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
zindagī kyā hai taḌaptī dopahar kā ruup hai
har taraf phailī huī be-mā.egī kī dhuup hai
aadmī ke ruup par chhāyā huā bahrūp hai
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
jis pe bhi Dalun nazar wo shaKHs ghabraya lage
jis ko dekhun zindagi se jaise tang aaya lage
gham ka mara har koi KHushiyon ka Thukraya lage
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
faqa-masti tang-dasti ka hai charcha chaar-su
mar gai hai ab dilon se zindagi ki aarzu
ho gaya hai KHushk insanon ke jismon ka lahu
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
bachche galiyon mein phiren aawara kutton ki tarah
aur saDkon par biken kuchh jism phulon ki tarah
koi taDpe bhuk se zaKHmi parindon ki tarah
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
zulm karte hain sabhi ab mehrbani ki jagah
zillaten milti hain aksar qadrdani ki jagah
aasman bhi aag barsata hai pani ki jagah
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
rishwaton ki Thokaron mein hain usulon ke mazar
ab nahin qanun mein talwar ki si tez dhaar
kho diya hai aaj ke insan ne apna waqar
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
is nai tahzib ne paida kiye ujle samaj
kis anokhe Dhang se badla hai duniya ka riwaj
husn be-parda hua hai ishq aawara-mizaj
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
aadmi KHud hi parastar-e-jahaalat ban gaya
mandir-o-masjid ka jhagDa ek aadat ban gaya
dharm to ek pyar tha jo aaj nafrat ban gaya
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
hind ho ya pak ho ya rus ho ya bahr-e-rum
jis taraf uThti hain nazren hain wahan fitnon ki dhum
aadmi ke feal se sahme hain ab mah-o-nujum
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
zindagi kya hai taDapti dopahar ka rup hai
har taraf phaili hui be-maegi ki dhup hai
aadmi ke rup par chhaya hua bahrup hai
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.