ai hawa shor kar
in muammar daraḳhtoñ ke qil.e meñ bhagdaḌ machā
devdār kī shāḳhoñ pe shab-ḳhūn maar
aur ḳhvāhish ke pattoñ ke qālīn par
aisā ūdham machā
jo ragoñ meñ ThiThurte hue ḳhuun ko garm kar de
ḳhayāloñ kī tah-deg ko itnā khaulā
ki barfānī tūdoñ se chiñgāriyāñ phuuT niklīñ
diloñ aur zehnoñ ke mābain khīñchī huī
ḳhushk tāroñ pe bāñdhe hue
rañg-dar-rañg dhāgoñ ke par kaaT de
mere aur us ke mābain bahte hue
ret ke is samundar ke pinDāl meñ
chup se panja laḌāne kā elaan kar
jañgalī Dhol kī gat pe badmast ho
zor kar
ai havā shor kar
in muammar daraKHton ke qile mein bhagdaD macha
dewdar ki shaKHon pe shab-KHun mar
aur KHwahish ke patton ke qalin par
aisa udham macha
jo ragon mein ThiThurte hue KHun ko garm kar de
KHayalon ki tah-deg ko itna khaula
ki barfani tudon se chingariyan phuT niklin
dilon aur zehnon ke mabain khinchi hui
KHushk taron pe bandhe hue
rang-dar-rang dhagon ke par kaT de
mere aur us ke mabain bahte hue
ret ke is samundar ke pinDal mein
chup se panja laDane ka elan kar
jangali Dhol ki gat pe badmast ho
zor kar
ai hawa shor kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.