ai lahore
Interesting Fact
(Funun, Lahore, December 1973)
tire daraḳhtoñ kī Tahniyoñ par bahār utre
tirī guzargāheñ nek rāhoñ kī manzileñ hoñ
mirā zamāna na.e na.e mausamoñ kī ḳhushbū
tire shab-o-roz kī mahak ho
zamīn par jab bhī raat phaile
kiran jo zulmat ko raushnī de tirī kiran ho
parinde uḌte hue parinde
hazār samtoñ se tere bāġhoñ meñ chahchahā.eñ
vo raat jis kī sahar nahīñ hai
vo tere shahroñ se tere qasboñ se duur guzre
vo haath jo azmatoñ ke hijje miTā rahā hai
vo haath lauh-o-qalam ke shajre se TuuT jaa.e
kalas pe lafzoñ ke phuul barseñ
tirī fasīloñ ke burj duniyā meñ jagmagā.eñ
akele-pan kī sazā meñ din kāTte hazāroñ
tirī ziyārat-gahoñ kī baḳhshish se tāza-dam hoñ
tire muqaddar kī bādshāhat zamīñ pe nikhre
na.e zamāne kī ibtidā tere naam se ho
ḳhushī ke chehre pe vasl kā abr tair jaa.e
tamām duniyā meñ tazkire tere phail jaa.eñ
tere daraKHton ki Tahniyon par bahaar utre
teri guzargahen nek rahon ki manzilen hon
mera zamana nae nae mausamon ki KHushbu
tere shab-o-roz ki mahak ho
zamin par jab bhi raat phaile
kiran jo zulmat ko raushni de teri kiran ho
parinde uDte hue parinde
hazar samton se tere baghon mein chahchahaen
wo raat jis ki sahar nahin hai
wo tere shahron se tere qasbon se dur guzre
wo hath jo azmaton ke hijje miTa raha hai
wo hath lauh-o-qalam ke shajre se TuT jae
kalas pe lafzon ke phul barsen
teri fasilon ke burj duniya mein jagmagaen
akele-pan ki saza mein din kaTte hazaron
teri ziyarat-gahon ki baKHshish se taza-dam hon
tere muqaddar ki baadshahat zamin pe nikhre
nae zamane ki ibtida tere nam se ho
KHushi ke chehre pe wasl ka abr tair jae
tamam duniya mein tazkire tere phail jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.