ai meri hamdam-o-dam-saz
ai mirī hamdam-o-dam-sāz mirī jān-e-nafas
shorish-e-bād-e-muḳhālif se pareshāñ kyoñ hai
tere chehre kī udāsī tire lahje kī thakan
aisā lagtā hai koī TuuT rahā ho jaise
kah rahī haiñ tirī jaagī huī bojhal āñkheñ
tere dil par koī shab-ḳhūn huā ho jaise
is qadar gardish-e-daurāñ se hirāsāñ kyoñ hai
ai mirī hamdam-o-dam-sāz mirī jān-e-nafas
'ishq meñ tīr-e-malāmat to na.ī baat nahīñ
ahl-e-dil nāvak-e-dushnām se kab Darte haiñ
jin ke dāman pe nadāmat kā koī daaġh nahīñ
vo jafā-kārī-e-ilzām se kab Darte haiñ
apne nā-karda gunāhoñ pe pashemāñ kyoñ hai
ai mirī hamdam-o-dam-sāz mirī jān-e-nafas
ye girānī-e-shab-e-hijr kahāñ tak āḳhir
tīrgī vaqt ke sailāb se chhaT jā.egī
dil pe jo kuchh bhī guzartī hai guzar jaane de
jur.at-e-shauq se ye raat bhī kaT jā.egī
‘azm-e-rāsiḳh hai to andesha-e-tūfāñ kyoñ hai
ai mirī hamdam-o-dam-sāz mirī jān-e-nafas
shorish-e-bād-e-muḳhālif se pareshāñ kyoñ hai
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas
shorish-e-baad-e-muKHalif se pareshan kyon hai
tere chehre ki udasi tere lahje ki thakan
aisa lagta hai koi TuT raha ho jaise
kah rahi hain teri jagi hui bojhal aankhen
tere dil par koi shab-KHun hua ho jaise
is qadar gardish-e-dauran se hirasan kyon hai
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas
'ishq mein tir-e-malamat to nai baat nahin
ahl-e-dil nawak-e-dushnam se kab Darte hain
jin ke daman pe nadamat ka koi dagh nahin
wo jafa-kari-e-ilzam se kab Darte hain
apne na-karda gunahon pe pasheman kyon hai
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas
ye girani-e-shab-e-hijr kahan tak aaKHir
tirgi waqt ke sailab se chhaT jaegi
dil pe jo kuchh bhi guzarti hai guzar jaane de
jurat-e-shauq se ye raat bhi kaT jaegi
‘azm-e-rasiKH hai to andesha-e-tufan kyon hai
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas
shorish-e-baad-e-muKHalif se pareshan kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.