ai watan ai watan
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
terī azmat pe haiñ jān-o-dil se ḳhudā
āsmāñ jhuk ke parcham tirā chūmtā
ai vatan apnī jannat hai kūcha tirā
ḳhushbū ham aur tū nargis-o-tastaran
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
ham haiñ fasl-e-bahār aur tū gulistāñ
tū agar āsmāñ hai to ham kahkashāñ
shāḳh-e-gul tū agar hai to ham āshiyāñ
tū gul-andoz-o-gul-fām aur gul-badan
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
ai vatan ḳhaak terī hai ḳhāk-e-shifā
chāñd-sūraj sā hai zarra zarra tirā
giit gaatī hai terā hī mauj-e-sabā
paañv dhote haiñ dariyā-e-gañg-o-jaman
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
sar pe dastār tere himāla banā
choTī kailāsh kī maañg Tiika tirā
ai vatan husn-e-kashmīr chehra tirā
sub.h-e-kāshī o shām-e-avadh pairahan
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
ai vatan hai duā tū salāmat rahe
apnī āñkhoñ meñ tū misl-e-jannat rahe
ham ko tujh se hamesha mohabbat rahe
tū hai nasrīn-o-lāl-o-sarv-o-saman
ai vatan ai vatan ai hamāre vatan
phuul ham haiñ tire tū hamārā chaman
ai watan ai watan ai hamare watan
phul hum hain tere tu hamara chaman
teri azmat pe hain jaan-o-dil se KHuda
aasman jhuk ke parcham tera chumta
ai watan apni jannat hai kucha tera
KHushbu hum aur tu nargis-o-tastaran
ai watan ai watan ai hamare watan
phul hum hain tere tu hamara chaman
hum hain fasl-e-bahaar aur tu gulistan
tu agar aasman hai to hum kahkashan
shaKH-e-gul tu agar hai to hum aashiyan
tu gul-andoz-o-gul-fam aur gul-badan
ai watan ai watan ai hamare watan
phul hum hain tere tu hamara chaman
ai watan KHak teri hai KHak-e-shifa
chand-suraj sa hai zarra zarra tera
git gati hai tera hi mauj-e-saba
panw dhote hain dariya-e-gang-o-jaman
ai watan ai watan ai hamare watan
phul hum hain tere tu hamara chaman
sar pe dastar tere himala bana
choTi kailash ki mang Tika tera
ai watan husn-e-kashmir chehra tera
subh-e-kashi o sham-e-awadh pairahan
ai watan ai watan ai hamare watan
phul hum hain tere tu hamara chaman
ai watan hai dua tu salamat rahe
apni aankhon mein tu misl-e-jannat rahe
hum ko tujh se hamesha mohabbat rahe
tu hai nasrin-o-lal-o-sarw-o-saman
ai watan ai watan ai hamare watan
phul hum hain tere tu hamara chaman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.