aisa bhi nahin ki
aisā bhī nahīñ ki mujhe zindagī ke peḌ ke paas
be-ās aur be-sahārā chhoḌ diyā gayā ho
maiñ ne abhī abhī gilahriyoñ kī āvāz sunī hai
gilahriyāñ mere liye
bahisht ke aḳhroT lā rahī haiñ
sivā.e is ke ki ādam-zād kahīñ dikhā.ī nahīñ detā
magar jañgal bol rahā hai ki is ke bol meñ
merī bichhḌī huī āvāz shāmil hai
mere bāl-bachchoñ kā pyaar shāmil hai
sivā.e is ke ki jin logoñ ne mujhe be-nām
jazīroñ meñ le jaane kā va.ada kiyā thā
vo ab kahīñ dikhā.ī nahīñ diye
to ab maiñ kis se kahūñ
ki kahne sunñe vaalā zindagī kā nizām to baaqī nahīñ rahā
avaa.e us ke ki miTTī kah rahī hai
ki vo an-ginat peḌ paude tab ugā.egī
jab maiñ yahāñ hūñgā hī nahīñ
aisa bhi nahin ki mujhe zindagi ke peD ke pas
be-as aur be-sahaara chhoD diya gaya ho
main ne abhi abhi gilahriyon ki aawaz suni hai
gilahriyan mere liye
bahisht ke aKHroT la rahi hain
siwae is ke ki aadam-zad kahin dikhai nahin deta
magar jangal bol raha hai ki is ke bol mein
meri bichhDi hui aawaz shamil hai
mere baal-bachchon ka pyar shamil hai
siwae is ke ki jin logon ne mujhe be-nam
jaziron mein le jaane ka wada kiya tha
wo ab kahin dikhai nahin diye
to ab main kis se kahun
ki kahne sunne wala zindagi ka nizam to baqi nahin raha
awae us ke ki miTTi kah rahi hai
ki wo an-ginat peD paude tab ugaegi
jab main yahan hunga hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.