aise mein teri yaad aati hai
aise mein teri yaad aati hai
Syed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
MORE BYSyed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
jab chāñdnī khultī hai har-sū har zarra tābāñ hotā hai
jab chhūT se māh-o-anjum kī dariyā meñ charāġhāñ hotā hai
aise meñ tirī yaad aatī hai
yaad aane vaale ye to batā kyā maiñ bhī tujhe yaad aatā huuñ
jab sūraj jhukne lagtā hai aur chāñd sitāre khulte haiñ
din raat baham jab hote haiñ jab donoñ nazāre milte haiñ
aise meñ tirī yaad aatī hai
yaad aane vaale ye to batā kyā maiñ bhī tujhe yaad aatā huuñ
anjum ke suhāne saa.e meñ jab raat kī devī sotī hai
jab sabza dāman bhartā hai aur shabnam maaya khotī hai
aise meñ tirī yaad aatī hai
yaad aane vaale ye to batā kyā maiñ bhī tujhe yaad aatā huuñ
har zarra mauj-e-fazā meñ jab fitrat ke raaz ugaltā hai
lab band kalī ke sāñche meñ jab phuul kā paikar Dhaltā hai
aise meñ tirī yaad aatī hai
yaad aane vaale ye to batā kyā maiñ bhī tujhe yaad aatā huuñ
jab dekh ke maiḳhāne kā samāñ rindoñ kī nazar itrātī hai
jab daur meñ sāġhar hotā hai jab raqs meñ miinā aatī hai
aise meñ tirī yaad aatī hai
yaad aane vaale ye to batā kyā maiñ bhī tujhe yaad aatā huuñ
majbūr-e-mohabbat kī duniyā jab aas ke bal par jiitī hai
ummīd kī ik ma.asūm jhalak jab chāk-e-garebāñ siitī hai
aise meñ tirī yaad aatī hai
yaad aane vaale ye to batā kyā maiñ bhī tujhe yaad aatā huuñ
sāvan kī vo matvālī rāteñ aur rātoñ kī tanhā.ī tauba
jab kaalī ghaTā.eñ uThtī haiñ letī huī añgḌā.ī tauba
aise meñ tirī yaad aatī hai
yaad aane vaale ye to batā kyā maiñ bhī tujhe yaad aatā huuñ
jab chandni khulti hai har-su har zarra taban hota hai
jab chhuT se mah-o-anjum ki dariya mein charaghan hota hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun
jab suraj jhukne lagta hai aur chand sitare khulte hain
din raat baham jab hote hain jab donon nazare milte hain
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun
anjum ke suhane sae mein jab raat ki dewi soti hai
jab sabza daman bharta hai aur shabnam maya khoti hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun
har zarra mauj-e-faza mein jab fitrat ke raaz ugalta hai
lab band kali ke sanche mein jab phul ka paikar Dhalta hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun
jab dekh ke maiKHane ka saman rindon ki nazar itraati hai
jab daur mein saghar hota hai jab raqs mein mina aati hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun
majbur-e-mohabbat ki duniya jab aas ke bal par jiti hai
ummid ki ek masum jhalak jab chaak-e-gareban siti hai
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun
sawan ki wo matwali raaten aur raaton ki tanhai tauba
jab kali ghaTaen uThti hain leti hui angDai tauba
aise mein teri yaad aati hai
yaad aane wale ye to bata kya main bhi tujhe yaad aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.