ajab pani hai
ajab paanī hai
ajab mallāh hai
sūrāḳh se be-fikr
aasan maar ke
kashtī ke ik kone meñ baiThā hai
ajab paanī hai
jo sūrāḳh se dāḳhil nahīñ hotā
koī mauj-e-nahufta hai
jo peñde se
kisī lakḌī ke taḳhte kī tarah chipkī hai
kashtī chal rahī hai
sar-phirī lahroñ ke jhūle meñ
abhī ojhal hai
jaise Dūbtī ab Dūbtī hai
jaise batn-e-āb se
jaise talātum kī siyāhī se
abhī niklī hai
jaise rāt-din
bas ek hī aalam meñ
kashtī chal rahī hai
kyā ajab kashtī hai
jis ke dam se ye paanī ravāñ hai
aur us mallāh kā dil naġhma-ḳhvāñ hai
kitne Taapu raah meñ aa.e
magar mallāh
ḳhushkī kī taraf khiñchtā nahīñ
nazāra-e-raqsandagī ḳhvāb meñ
shāmil nahīñ hotā
ajab paanī hai
jo sūrāḳh se dāḳhil nahīñ hotā
ajab pani hai
ajab mallah hai
suraKH se be-fikr
aasan mar ke
kashti ke ek kone mein baiTha hai
ajab pani hai
jo suraKH se daKHil nahin hota
koi mauj-e-nahufta hai
jo pende se
kisi lakDi ke taKHte ki tarah chipki hai
kashti chal rahi hai
sar-phiri lahron ke jhule mein
abhi ojhal hai
jaise Dubti ab Dubti hai
jaise batn-e-ab se
jaise talatum ki siyahi se
abhi nikli hai
jaise raat-din
bas ek hi aalam mein
kashti chal rahi hai
kya ajab kashti hai
jis ke dam se ye pani rawan hai
aur us mallah ka dil naghma-KHwan hai
kitne Tapu rah mein aae
magar mallah
KHushki ki taraf khinchta nahin
nazara-e-raqsandagi KHwab mein
shamil nahin hota
ajab pani hai
jo suraKH se daKHil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.