ajab sa ek qissa
mirī āñkhoñ kā har manzar
udāsī kā darīda pairahan hai
shahr kī galiyāñ
ḳhamoshī kā kafan pahne paḌī haiñ
chāñdnī jaise
kis kī aañkh kā yarqān ho
aur duur tak phailī chhatoñ par
leTne vāloñ ke chehroñ par barastā ho
chhatoñ par leTne vāloñ ke chehre zard haiñ
ThanDī havā ke ek jhoñke ko taraste haiñ
udhar bāhar bahut āhistagī se ḳhauf kī chādar
kisī nādīda tāqat ne daraḳhtoñ par bhī phailā dī
udāsī se tarāshīda daraḳhtoñ kī har ik ḳhvāhish
kisī bārish ke qatre meñ muqayyad hai
jo girtā hai na miTtā hai
agar hotā mire bas meñ
to maiñ bārish kā qatra ban ke girtā
havā kā sard jhoñkā ban ke
har ghar meñ utartā
aur un vīrān āñkhoñ ko
udāsī se tarāshīda daraḳhtoñ ko ḳhushī detā
magar meñ ḳhud usī manzar kā hissa huuñ
ajab sā ek qissa huuñ
meri aankhon ka har manzar
udasi ka darida pairahan hai
shahr ki galiyan
KHamoshi ka kafan pahne paDi hain
chandni jaise
kis ki aankh ka yarqan ho
aur dur tak phaili chhaton par
leTne walon ke chehron par barasta ho
chhaton par leTne walon ke chehre zard hain
ThanDi hawa ke ek jhonke ko taraste hain
udhar bahar bahut aahistagi se KHauf ki chadar
kisi nadida taqat ne daraKHton par bhi phaila di
udasi se tarashida daraKHton ki har ek KHwahish
kisi barish ke qatre mein muqayyad hai
jo girta hai na miTta hai
agar hota mere bas mein
to main barish ka qatra ban ke girta
hawa ka sard jhonka ban ke
har ghar mein utarta
aur un viran aankhon ko
udasi se tarashida daraKHton ko KHushi deta
magar mein KHud usi manzar ka hissa hun
ajab sa ek qissa hun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 462)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.