ajab sapna dikhai de
jo aksar sochtī huuñ maiñ
batā kyā tū bhī vo soche
mirī āñkhoñ kī tahrīreñ
agar ai kaash tū paḌh le
to phir ye jaan legā tū
ki jab se tujh ko dekhā hai
dhanak rangoñ kī ik titlī
mire man meñ samā.ī hai
mahak sandesa laa.ī hai
ye sab maiñ ne sunā to phir
mujhe mahsūs hotā hai
ki maiñ bhī ek titlī huuñ
ye dil merā gulistāñ hai
tū hī to merā armāñ hai
basūñ tere ḳhayāloñ meñ
rahūñ terī nigāhoñ meñ
liye bāñhoñ meñ ham bāñheñ
vafā ke giit bhī gaa.eñ
tirā dil ho mirā ghar ho
tirā shāna mirā sar ho
magar maiñ dekhtī huuñ ki
hai sochoñ kā bhañvar aage
ka.ī andeshe phir jaage
achānak phir huā ye ki
'ajab sapnā dikhā.ī de
na tū apnā dikhā.ī de
jo aksar sochti hun main
bata kya tu bhi wo soche
meri aankhon ki tahriren
agar ai kash tu paDh le
to phir ye jaan lega tu
ki jab se tujh ko dekha hai
dhanak rangon ki ek titli
mere man mein samai hai
mahak sandesa lai hai
ye sab main ne suna to phir
mujhe mahsus hota hai
ki main bhi ek titli hun
ye dil mera gulistan hai
tu hi to mera arman hai
basun tere KHayalon mein
rahun teri nigahon mein
liye banhon mein hum banhen
wafa ke git bhi gaen
tera dil ho mera ghar ho
tera shana mera sar ho
magar main dekhti hun ki
hai sochon ka bhanwar aage
kai andeshe phir jage
achanak phir hua ye ki
'ajab sapna dikhai de
na tu apna dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.