ajanta
chaTāneñ bol saktī haiñ
chaTāneñ raaz apne khol saktī haiñ
dikhā saktī haiñ ye taqdīs kī duniya-e-nā-paidā
jahāñ par fikr-o-fan uzlat-nashīñ kī ḳhān-qāheñ haiñ
jahāñ ehsās kī andhī guphā.eñ haiñ
vo kis kī uñgliyāñ thiiñ jin ke lams-e-sehr-āgīñ ne
unheñ izn-e-suḳhan baḳhshā
vo kis kī garmi-e-dil thī ki jis ne un ko tan baḳhshā
yahāñ har shaḳhs aa.egā
magar us ko na pā.egā
use DhūñDo vo shāyad un chaTānoñ meñ chhupā hogā
ye pahlī shart thī un ke takallum kī
ki jo bhī un ke asrār-e-muqaffal DhūñDne aa.e
vo ḳhud un meñ samā jaa.e
chaTanen bol sakti hain
chaTanen raaz apne khol sakti hain
dikha sakti hain ye taqdis ki duniya-e-na-paida
jahan par fikr-o-fan uzlat-nashin ki KHan-qahen hain
jahan ehsas ki andhi guphaen hain
wo kis ki ungliyan thin jin ke lams-e-sehr-agin ne
unhen izn-e-suKHan baKHsha
wo kis ki garmi-e-dil thi ki jis ne un ko tan baKHsha
yahan har shaKHs aaega
magar us ko na paega
use DhunDo wo shayad un chaTanon mein chhupa hoga
ye pahli shart thi un ke takallum ki
ki jo bhi un ke asrar-e-muqaffal DhunDne aae
wo KHud un mein sama jae
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 45)
- Author : Salahuddin Mahmood
- Publication : Saweera art Press, Pakistan (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.