ajib hoti hai ye mohabbat
nasīb vāloñ ke dil meñ jab bhī ye jāgtī hai
to pahle nīndeñ ujāḌtī hai
ye jhūmtī hai ye nāchtī hai
ye phailtī hai ye boltī hai
har ek lamha har ek va.ade ko taultī hai
ye apne pyāroñ ko mārtī hai
salīb hotī hai ye mohabbat
ajiib hotī hai ye mohabbat
ye phailtī hai to peḌ bantī hai chhāñv kartī ye ruup detī
ye chhāñv kar ke bhī dhuup detī
kabhī kabhī to bas aap apnī raqīb hotī hai ye mohabbat
ajiib hotī hai ye mohabbat
lahū kī sūrat ragoñ meñ dauḌe
ye ḳhvāb ban kar nazar meñ Thahre
sahāb ban kar falak se barse
ise jo dariyā meñ Daal aao to ik samundar kā ruup dhāre
kahīñ jo sahrā meñ gaaḌ aao to phuul ban kar diloñ meñ mahke
ise jo dīvār meñ bhī chun do to har kalī meñ ho aks is kā
har ik galī meñ ho raqs is kā
ajiib hotī hai ye mohabbat
kisī kisī ko
kisī kisī ko nasīb hotī hai ye mohabbat
nasib walon ke dil mein jab bhi ye jagti hai
to pahle ninden ujaDti hai
ye jhumti hai ye nachti hai
ye phailti hai ye bolti hai
har ek lamha har ek wade ko taulti hai
ye apne pyaron ko marti hai
salib hoti hai ye mohabbat
ajib hoti hai ye mohabbat
ye phailti hai to peD banti hai chhanw karti ye rup deti
ye chhanw kar ke bhi dhup deti
kabhi kabhi to bas aap apni raqib hoti hai ye mohabbat
ajib hoti hai ye mohabbat
lahu ki surat ragon mein dauDe
ye KHwab ban kar nazar mein Thahre
sahab ban kar falak se barse
ise jo dariya mein Dal aao to ek samundar ka rup dhaare
kahin jo sahra mein gaD aao to phul ban kar dilon mein mahke
ise jo diwar mein bhi chun do to har kali mein ho aks is ka
har ek gali mein ho raqs is ka
ajib hoti hai ye mohabbat
kisi kisi ko
kisi kisi ko nasib hoti hai ye mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.