ajnabi
vo ajnabī thā
mire nagar meñ
ek aisī manzil kā rāh-rau
jo faqat tamannā thī raushnī thī
maiñ kis se pūchhūñ
kahāñ hai vo ajnabī musāfir
jo pyaar kī dhuup le ke aayā
aur ab gayā hai
tū hañstā hañstā
ye shahr sunsān kar gayā hai
maiñ kaise mānūñ
ki jaane vaale ko
hādse kī ḳhabar nahīñ hai
jo shahr-e-dil par guzar gayā hai
maiñ kaise jānūñ
ki duur jā kar
udaas hai ḳhush hai jāgtā hai
ki so rahā hai
kabhī mujhe bhī vo sochtā hai
maiñ kis se pūchhūñ
ki maiñ yahāñ
ḳhud bhī ajnabī huuñ
wo ajnabi tha
mere nagar mein
ek aisi manzil ka rah-rau
jo faqat tamanna thi raushni thi
main kis se puchhun
kahan hai wo ajnabi musafir
jo pyar ki dhup le ke aaya
aur ab gaya hai
tu hansta hansta
ye shahr sunsan kar gaya hai
main kaise manun
ki jaane wale ko
hadse ki KHabar nahin hai
jo shahr-e-dil par guzar gaya hai
main kaise jaanun
ki dur ja kar
udas hai KHush hai jagta hai
ki so raha hai
kabhi mujhe bhi wo sochta hai
main kis se puchhun
ki main yahan
KHud bhi ajnabi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.