akDu KHan
be-samjhe laḌ jaate haiñ
har ik se Takrāte haiñ
ban jaate haiñ ḳhud nādān
ye haiñ mister akḌū ḳhaan
baat baat par tante haiñ
baḌe bahādur bante haiñ
rahtī hai aafat meñ jaan
ye haiñ mister akḌū ḳhaan
maar bhī ye khā jaate haiñ
lekin kab sharmāte haiñ
band nahīñ karte haiñ zabān
ye haiñ mister akḌū ḳhaan
apnī mauj meñ bahte haiñ
akḌe akḌe rahte haiñ
in se Dartā hai shaitān
ye haiñ mister akḌū ḳhaan
achchhā khānā hai marġhūb
dā’vat khāte haiñ ye ḳhuub
dikhlāte haiñ jhūTī shaan
ye haiñ mister akḌū ḳhaan
dauḌ nahīñ paate haiñ ye
pīchhe rah jaate haiñ ye
lekin Dīñgte haiñ har aan
ye haiñ mister akḌū ḳhaan
be-samjhe laD jate hain
har ek se Takraate hain
ban jate hain KHud nadan
ye hain mister akDu KHan
baat baat par tante hain
baDe bahadur bante hain
rahti hai aafat mein jaan
ye hain mister akDu KHan
mar bhi ye kha jate hain
lekin kab sharmate hain
band nahin karte hain zaban
ye hain mister akDu KHan
apni mauj mein bahte hain
akDe akDe rahte hain
in se Darta hai shaitan
ye hain mister akDu KHan
achchha khana hai marghub
da’wat khate hain ye KHub
dikhlate hain jhuTi shan
ye hain mister akDu KHan
dauD nahin pate hain ye
pichhe rah jate hain ye
lekin Dingte hain har aan
ye hain mister akDu KHan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.