akele din
tujhe milne ke pahle din
bahut se ḳhvāb
Dheroñ-Dher ujle aur rupahle din
unhīñ meñ kuchh
hamāre gird gherā Daal kar baiThe hue maile-kuchaile din
miThā.ī le ke aa.e the
sabhī ne Dhol aur tāshe bajā.e the
sabhī nāche the gaa.e the
magar phir yaad hai
ik baar jab ye ham ko ruḳhsat karne aa.e the
sabhoñ ne paañv pakḌe the
bahut hī ro.e gaa.e the
na jaane kitne lambe rāste par duur tak
aañsū bharī āñkheñ bichhā.e the
akele din
tujhe milne ke pahle din
bahut se KHwab
Dheron-Dher ujle aur rupahle din
unhin mein kuchh
hamare gird ghera Dal kar baiThe hue maile-kuchaile din
miThai le ke aae the
sabhi ne Dhol aur tashe bajae the
sabhi nache the gae the
magar phir yaad hai
ek bar jab ye hum ko ruKHsat karne aae the
sabhon ne panw pakDe the
bahut hi roe gae the
na jaane kitne lambe raste par dur tak
aansu bhari aankhen bichhae the
akele din
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 138)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.