akka bakka tin taDakka
akkā bakkā tiin taḌakkā
akkā bakkā tiin taḌakkā
paḌhā nahīñ to phir kyā likkhā
tiir nahīñ thā chalā hai tukkā
āḳhir meñ sab hakkā-bakkā
ruk ga.ī gaaḌī puncture chakkā
akkā bakkā tiin taḌakkā
baḌhne vaalā aage aa.e
sustī se pīchhe rah jaa.e
bhiiḌ meñ rah kar khaa.e dhakkā
ye to hai dastūr saḌak kā
akkā bakkā tiin taḌakkā
mehnat ham din raat kareñge
sab se achchhī baat kareñge
ḳhushiyoñ kī barsāt kareñge
ham ne irāda kiyā hai pakkā
akkā bakkā tiin taḌakkā
akka bakka tin taDakka
akka bakka tin taDakka
paDha nahin to phir kya likkha
tir nahin tha chala hai tukka
aaKHir mein sab hakka-bakka
ruk gai gaDi puncture chakka
akka bakka tin taDakka
baDhne wala aage aae
susti se pichhe rah jae
bhiD mein rah kar khae dhakka
ye to hai dastur saDak ka
akka bakka tin taDakka
mehnat hum din raat karenge
sab se achchhi baat karenge
KHushiyon ki barsat karenge
hum ne irada kiya hai pakka
akka bakka tin taDakka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.