aks ki qaid
vo bhī kaisī laḌkī thī
pāniyoñ meñ bahtī thī
bādaloñ meñ rahtī thī
saañs saañs chaltī thī
baat baat rahtī thī
hoñT maiñ hilātā thā aur vo mahaktā sā
giit bantī jaatī thī
jo qalam hilātā to dil ke saaf kāġhaz par
nazm bantī jaatī thī
aañkh ke darīche meñ chāñd ban ke khultī thī
aur mere ḳhvāboñ kī vādiyoñ meñ rahtī thī
vo bhī kaisī laḌkī thī
apnī maut se pahle dūsre din aane kā
va.ada kar ga.ī thī vo
dūsrā baras lekin bītne ko aaya hai
phir bhī vo nahīñ aa.ī
kyā ajiib laḌkī thī
aaj vo fanā oḌhe ḳhaak ke gharauñde meñ
gahrī niiñd sotī hai
hañstī hai na rotī hai
bevafā nahīñ lekin bevafā sī lagtī hai
chand roz ruk jaatī
ashk ban ke āñkhoñ ke pāniyoñ meñ kyoñ bahtī
dhund ban ke ḳhvāboñ ke bādaloñ meñ kyoñ rahtī
wo bhi kaisi laDki thi
paniyon mein bahti thi
baadalon mein rahti thi
sans sans chalti thi
baat baat rahti thi
honT main hilata tha aur wo mahakta sa
git banti jati thi
jo qalam hilata to dil ke saf kaghaz par
nazm banti jati thi
aankh ke dariche mein chand ban ke khulti thi
aur mere KHwabon ki wadiyon mein rahti thi
wo bhi kaisi laDki thi
apni maut se pahle dusre din aane ka
wada kar gai thi wo
dusra baras lekin bitne ko aaya hai
phir bhi wo nahin aai
kya ajib laDki thi
aaj wo fana oDhe KHak ke gharaunde mein
gahri nind soti hai
hansti hai na roti hai
bewafa nahin lekin bewafa si lagti hai
chand roz ruk jati
ashk ban ke aankhon ke paniyon mein kyon bahti
dhund ban ke KHwabon ke baadalon mein kyon rahti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.