aks
merā kamra ba-zāhir saada sā hai
halkī zardī-mā.il dīvāreñ
safed chhat
jis pe jamī gard kī tah ne us kī safedī ko maañd kar rakhā hai
us meñ do logoñ kā bistar aur
us ke ain sāmne do logoñ ke baiThne vaalā maTiyāle se rang kā sofa paḌā hai
daa.eñ dīvār par khiḌkī hai
khiḌkī pe parda nahīñ
yūñhī āsmānī se rang kī chādar laTkā rakhī hai
duniyā to musāfir-ḳhāna hai nā
jaane kab raḳht-e-safar bāñdhnā paḌe
to kaun ārā.ish kartā phire is sarā.e kī
bistar kī baa.eñ jānib ek baḌā sā ā.īna hai
jo mere kamre kī sab se ajiib chiiz hai
us meñ ek aks hai jo hū-bahū mere jaisā hai
jo mere batā.e binā jāntā hai ki maiñ kyā karne vaalī huuñ
kyā bolne vaalī huuñ
maiñ ye nahīñ jāntī ki use mere man andar ke haal kī bhī ḳhabar hai
yā mahaz zāhir ko jāntā hai
sach kahūñ
mujhe to vo ḳhud apne aap se bhī anjān lagtā hai
jaane kyoñ vo merī naql karte kabhī thaktā hī nahīñ
muskurā ke dekhūñ to muskurātā hai
savāl karūñ to javāb nahīñ detā
balki ḳhud bhī savāl kartā hai
ghuur ke dekhūñ to vo bhī ghūrtā hai
mere māthe pe shikan ubhre
tafakkur yā ġhusse se
to us kā māthā bhī shikan-ālūd ho jaatā hai
ek din ġhusse meñ maiñ ne use gaalī dī to us ne bhī turant gaalī bak dī
hai nā gustāḳh bad-lihāz
kal hī merī dekhā dekhī vo bhī merī hī ik ġhazal gungunāne lagā
to bahut pyaar aaya mujhe us par
be-sāḳhta us kā māthā chūmnā chāhā to us ne mere laboñ pe lab rakh diye
meñ bad-maza sī ho kar pīchhe haTī
tab se musalsal dil meñ ek armān machal rahā hai
ki kaash maiñ apne aks kā māthā chuum sakūñ
mera kamra ba-zahir sada sa hai
halki zardi-mail diwaren
safed chhat
jis pe jami gard ki tah ne us ki safedi ko mand kar rakha hai
us mein do logon ka bistar aur
us ke ain samne do logon ke baiThne wala maTiyale se rang ka sofa paDa hai
daen diwar par khiDki hai
khiDki pe parda nahin
yunhi aasmani se rang ki chadar laTka rakhi hai
duniya to musafir-KHana hai na
jaane kab raKHt-e-safar bandhna paDe
to kaun aaraish karta phire is sarae ki
bistar ki baen jaanib ek baDa sa aaina hai
jo mere kamre ki sab se ajib chiz hai
us mein ek aks hai jo hu-bahu mere jaisa hai
jo mere batae bina jaanta hai ki main kya karne wali hun
kya bolne wali hun
main ye nahin jaanti ki use mere man andar ke haal ki bhi KHabar hai
ya mahaz zahir ko jaanta hai
sach kahun
mujhe to wo KHud apne aap se bhi anjaan lagta hai
jaane kyon wo meri naql karte kabhi thakta hi nahin
muskura ke dekhun to muskuraata hai
sawal karun to jawab nahin deta
balki KHud bhi sawal karta hai
ghur ke dekhun to wo bhi ghurta hai
mere mathe pe shikan ubhre
tafakkur ya ghusse se
to us ka matha bhi shikan-alud ho jata hai
ek din ghusse mein main ne use gali di to us ne bhi turant gali bak di
hai na gustaKH bad-lihaz
kal hi meri dekha dekhi wo bhi meri hi ek ghazal gungunane laga
to bahut pyar aaya mujhe us par
be-saKHta us ka matha chumna chaha to us ne mere labon pe lab rakh diye
mein bad-maza si ho kar pichhe haTi
tab se musalsal dil mein ek arman machal raha hai
ki kash main apne aks ka matha chum sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.