al-ayazar mar gaya
bulb kā jabḌā khule aag baras jaa.e to
gar ye istaḳhar abhī ḳhuun se bhar jaa.e to
yā ye istaḳhar
jahāñ aab ke manshūroñ se
rang-e-hastī se fanā kī ye dhanak ubhrī hai
koī istaḳhar na ho kokh ho merī maañ kī
aur maiñ maiñ nahīñ shāyad vo uchhaltā paanī
jis ne sāñsoñ kī tanāboñ ko pakaḌ rakhā thā
vaa.e qismat ki mire haath meñ rassī na rahī
aah merā ye janīñ ḳhuun ugaltā jaa.e
is qadar ḳhuun mirī maañ kā batn bhar jaa.e
is qadar ḳhuun ki surgeon kā labāda mere
surḳh ayyām kī tanhā.ī sā gāḌhā ho jaa.e
aur tāñbe ke kisī garm se bartan meñ abhī
mere lāshe ke kaTe laḳht paḌe hilte hoñ
bulb ka jabDa khule aag baras jae to
gar ye istaKHar abhi KHun se bhar jae to
ya ye istaKHar
jahan aab ke manshuron se
rang-e-hasti se fana ki ye dhanak ubhri hai
koi istaKHar na ho kokh ho meri man ki
aur main main nahin shayad wo uchhalta pani
jis ne sanson ki tanabon ko pakaD rakha tha
wae qismat ki mere hath mein rassi na rahi
aah mera ye janin KHun ugalta jae
is qadar KHun meri man ka batn bhar jae
is qadar KHun ki surgeon ka labaada mere
surKH ayyam ki tanhai sa gaDha ho jae
aur tanbe ke kisi garm se bartan mein abhi
mere lashe ke kaTe laKHt paDe hilte hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.