alag alag ikaiyan
sub.h se maiñ us ghaḌī kī Tik Tik sun rahā huuñ
jo dīvār se achānak ġhā.eb ho ga.ī hai
lekin har ghanTe ke iḳhtitām par
alarm dene lagtī hai
aur phir Tik Tik Tik
kabhī kabhī ye Tik Tik
mujhe apne siine meñ sunā.ī detī hai
kabhī kalā.ī kī nabz meñ
phir to jis chiiz ko uThā kar kaan se lagātā huuñ
vo Tik Tik karne aur alarm dene lagtī hai
achānak maiñ apne aqab kī dīvār ko dekhtā huuñ
vahāñ mujhe ye ghaḌī
dīvār par auñdhī chipkī dikhā.ī detī hai
sāmne kī dīvār se ye aqab kī dīvār par kaise aa ga.ī
aur us kī sūiyāñ aur Dial dīvār se chipak kaise ga.e
jaise us kā vaqt dīvār ke us paar ke liye ho
maiñ barābar ke kamre meñ jaatā huuñ
ab mujhe vaqt dikh rahā hai
lekin ghaḌī ġhā.eb hai
ab na us kī Tik Tik hai na alarm
maiñ ne chāhā ki chīzoñ ko chhū kar dekhūñ
Thiik us vaqt mujhe andāza huā
maiñ chīzoñ ko dekh saktā huuñ
chhū nahīñ saktā
is kamre meñ to maiñ ḳhud ulTī huī ghaḌī huuñ
ye kamra aur vo kamra
do alag alag ikā.iyāñ haiñ
unheñ ek nahīñ kiyā jā saktā
bas us kamre meñ thoḌī der ke liye jhāñkā jā saktā hai
maiñ vāpas apne kamre meñ aa jaatā huuñ
vahāñ
jahāñ maiñ har chiiz ko chhū saktā huuñ
aur har chiiz meñ
vaqt kī ye Tik Tik sun saktā huuñ
chāhe sāmne ghaḌī ho
yā na ho
subh se main us ghaDi ki Tik Tik sun raha hun
jo diwar se achanak ghaeb ho gai hai
lekin har ghanTe ke iKHtitam par
alarm dene lagti hai
aur phir Tik Tik Tik
kabhi kabhi ye Tik Tik
mujhe apne sine mein sunai deti hai
kabhi kalai ki nabz mein
phir to jis chiz ko uTha kar kan se lagata hun
wo Tik Tik karne aur alarm dene lagti hai
achanak main apne aqab ki diwar ko dekhta hun
wahan mujhe ye ghaDi
diwar par aundhi chipki dikhai deti hai
samne ki diwar se ye aqab ki diwar par kaise aa gai
aur us ki suiyan aur Dial diwar se chipak kaise gae
jaise us ka waqt diwar ke us par ke liye ho
main barabar ke kamre mein jata hun
ab mujhe waqt dikh raha hai
lekin ghaDi ghaeb hai
ab na us ki Tik Tik hai na alarm
main ne chaha ki chizon ko chhu kar dekhun
Thik us waqt mujhe andaza hua
main chizon ko dekh sakta hun
chhu nahin sakta
is kamre mein to main KHud ulTi hui ghaDi hun
ye kamra aur wo kamra
do alag alag ikaiyan hain
unhen ek nahin kiya ja sakta
bas us kamre mein thoDi der ke liye jhanka ja sakta hai
main wapas apne kamre mein aa jata hun
wahan
jahan main har chiz ko chhu sakta hun
aur har chiz mein
waqt ki ye Tik Tik sun sakta hun
chahe samne ghaDi ho
ya na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.