alamiya
barf jamī hai zehnoñ par
dil meñ aag ke sho.ale haiñ
mere shahr ke dīvāne
yaar baḌe joshīle haiñ
saarī vahshat vīrānī
dar aa.ī hai shahr-e-dil meñ
hū kā aalam taarī hai
gaañv meñ aur qasboñ meñ
shoḳhī do-shīzāoñ kī
bachche bachche kī ḳhushiyāñ
maañ kī shafqat baap kā pyaar
le gayā jaane kaun udhār
ghar ghar ātish-bāzī hai
tānDav naach jo jaarī hai
phuul khile haiñ bārūdī
angāroñ kā mausam hai
jashn-e-bahārāñ kaisā hai
aañkh kalī kī pur-nam hai
maiñ bhī ronā chāhūñ par
ḳhuun nahīñ hai āñkhoñ meñ
paanī rote rote to
sadiyāñ mujh ko biit ga.iiñ
barf jami hai zehnon par
dil mein aag ke shoale hain
mere shahr ke diwane
yar baDe joshile hain
sari wahshat virani
dar aai hai shahr-e-dil mein
hu ka aalam tari hai
ganw mein aur qasbon mein
shoKHi do-shizaon ki
bachche bachche ki KHushiyan
man ki shafqat bap ka pyar
le gaya jaane kaun udhaar
ghar ghar aatish-bazi hai
tanDaw nach jo jari hai
phul khile hain barudi
angaron ka mausam hai
jashn-e-bahaaran kaisa hai
aankh kali ki pur-nam hai
main bhi rona chahun par
KHun nahin hai aankhon mein
pani rote rote to
sadiyan mujh ko bit gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.