us ne
ramte jogī ke aage
roTiyāñ rakh deñ
aur bahte paanī ke sāmne
ek dīvār khaḌī kar ke
fātehāna andāz meñ kahā:
dekho! maiñ ne donoñ ko rok diyā hai
aur ab tumhārī baaī hai
ye kah kar us ne
mere tamām rañg kīchaḌ meñ ulaT diye
maiñ ne dauḌ kar qalam uThānā chāhā
lekin us ne
mere hāthoñ ke pahoñche utarvā diye
maiñ zor zor se chīḳhne lagā
to us ne merī zabān kaaT kar pheñk dī
aur mujhe mazbūt añdheroñ se jakaḌ diyā
sālhā-sāl se
ghaTā-Top ḳhāmoshiyāñ basar kartā huā
maiñ dekh rahā huuñ
kīchaḌ meñ bikhre hue rañgoñ ke biich
merī kaTī huī zabān
dard-e-zeh se taḌap rahī hai
alfāz kī vilādat kā din
qarīb aa gayā hai
us ne
ramte jogi ke aage
roTiyan rakh den
aur bahte pani ke samne
ek diwar khaDi kar ke
fatehana andaz mein kaha:
dekho! main ne donon ko rok diya hai
aur ab tumhaari bai hai
ye kah kar us ne
mere tamam rang kichaD mein ulaT diye
main ne dauD kar qalam uThana chaha
lekin us ne
mere hathon ke pahonche utarwa diye
main zor zor se chiKHne laga
to us ne meri zaban kaT kar phenk di
aur mujhe mazbut andheron se jakaD diya
salha-sal se
ghaTa-Top KHamoshiyan basar karta hua
main dekh raha hun
kichaD mein bikhre hue rangon ke bich
meri kaTi hui zaban
dard-e-zeh se taDap rahi hai
alfaz ki wiladat ka din
qarib aa gaya hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 204)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.