aligaDh uniwersity
markaz-e-ilm-o-hunar mai-kada-e-soz-o-sāz
sajda-e-shauq se ābād hai rindoñ kā haram
jām-dar-jām hai sahbā-e-junūn-e-hikmat
dekhnā ho to koī dekh le saaqī kā karam
mai-gusārī kā ye andāz na dekhā ham ne
sab ke dukh dard kā ehsās nashe kā aalam
ek hī aag se har ruuh jilā paatī hai
ho ga.e ek hī sho.ale meñ sharāre mudġham
apne har daur kī tahrīk kā ā.īna liye
phir uThātā hai aligaḌh na.ī duniyā meñ qadam
raah dushvār meñ ik kāfila-e-nik.hat-o-nūr
sañg-e-ḳhārā kī chaTānoñ ke muqābil hai khaḌā
TuuT jā.egā bahut jald tilism-e-imroz
nūr-e-fardā ke tabassum meñ badal jā.egā
markaz-e-ilm-o-hunar mai-kada-e-soz-o-saz
sajda-e-shauq se aabaad hai rindon ka haram
jam-dar-jam hai sahba-e-junun-e-hikmat
dekhna ho to koi dekh le saqi ka karam
mai-gusari ka ye andaz na dekha hum ne
sab ke dukh dard ka ehsas nashe ka aalam
ek hi aag se har ruh jila pati hai
ho gae ek hi shoale mein sharare mudgham
apne har daur ki tahrik ka aaina liye
phir uThata hai aligaDh nai duniya mein qadam
rah dushwar mein ek kafila-e-nikhat-o-nur
sang-e-KHara ki chaTanon ke muqabil hai khaDa
TuT jaega bahut jald tilism-e-imroz
nur-e-farda ke tabassum mein badal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.