alwidai mulaqat ke baad
be-yaqīnī ke ziine pe chalte hue
us ne bāhar qadam jo nikālā
to cafe kī dīvār se dekhtī
monalisa ke chehre pe
sadiyoñ se phailā tabassum bhī
ik pal ko gahnā gayā
Tiinā saanī kī āvāz ke saa.e meñ
us ke hoñToñ kī jumbish
sarāboñ sī mahsūs hone lagī
us kī āñkhoñ pe chhā.ī huī dhund
chāroñ dishāoñ meñ uḌne lagī
be-yaqīnī kā ziina qadam-ba-qadam
us ke pairoñ ke hamrāh baḌhne lagā
aah khīñchī aur us ne
do-ālam kī saarī udāsī ko
apne badan meñ sameTā to sochā
ki kohra udāsī kā ham-zād hai
yak-ba-yak
zabt kī āmariyyat ke bāġhī
kisī ḳhvāb ne
us kī palkoñ ke zindāñ se
kuud kar ḳhud-kushī kī to
mafrūr aañsū qatāreñ banā kar nikalne lage
gol-chakkar pe raushan kisī qumqume ke
ujāle meñ geñde ke phūloñ ne
jab us ke gāloñ pe girtī huī
os dekhī to murjhā ga.e
surma.ī ghaas ne
saal kī āḳhirī shaam
meñ aaj pahlī dafa
us ko ḳhāmosh dekhā
to nam ho ga.ī
chāroñ jānib utartī huī dhund ne
ḳhud ko kuchh aur bojhal kiyā
us ko logoñ kī nazroñ se ojhal kiyā
aur vo laḌkī kahīñ kho ga.ī
be-yaqini ke zine pe chalte hue
us ne bahar qadam jo nikala
to cafe ki diwar se dekhti
monalisa ke chehre pe
sadiyon se phaila tabassum bhi
ek pal ko gahna gaya
Tina sani ki aawaz ke sae mein
us ke honTon ki jumbish
sarabon si mahsus hone lagi
us ki aankhon pe chhai hui dhund
chaaron dishaon mein uDne lagi
be-yaqini ka zina qadam-ba-qadam
us ke pairon ke hamrah baDhne laga
aah khinchi aur us ne
do-alam ki sari udasi ko
apne badan mein sameTa to socha
ki kohra udasi ka ham-zad hai
yak-ba-yak
zabt ki aamariyyat ke baghi
kisi KHwab ne
us ki palkon ke zindan se
kud kar KHud-kushi ki to
mafrur aansu qataren bana kar nikalne lage
gol-chakkar pe raushan kisi qumqume ke
ujale mein gende ke phulon ne
jab us ke galon pe girti hui
os dekhi to murjha gae
surmai ghas ne
sal ki aaKHiri sham
mein aaj pahli dafa
us ko KHamosh dekha
to nam ho gai
chaaron jaanib utarti hui dhund ne
KHud ko kuchh aur bojhal kiya
us ko logon ki nazron se ojhal kiya
aur wo laDki kahin kho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.