alzheimer mariz ek man ke nam
mujhe ab kuchh na samjhāo na kuchh bhī yaad dilvāo
tumhārī kyā samajh meñ aa.egā maiñ kaun sī duniyā meñ rahtī huuñ
maiñ kitnī muzmahil huuñ khoī khoī huuñ
durushtī se mujhe samjhāo mat maiñ kaun huuñ
tum se mirā rishta hai kyā ye kaun sā ghar hai kahāñ haiñ sab
maiñ bebas huuñ mujhe kyoñ yaad hai aur baaqī manzar dhuñdle dhuñdle haiñ
laḌakpan meñ kabhī ham-joliyoñ ke saath bāteñ kartī rahtī huuñ
kabhī bhaa.ī bahan ke saath bachpan kheltā hai ghar ke āñgan meñ
kabhī dul.han banī maiñ ḳhushbuoñ meñ Duubī hotī huuñ
mujhe samjhāo mat ye saarā dhokā hai
mujhe DāñTo nahīñ maiñ kyā karūñ bolo
mire bas meñ nahīñ hai kuchh
mujhe samjhāo mat
bahlāo
merā haath thāmo pyaar se māthe pe bosa do
yahī kaafī hai mere vāste tum paas ho mere
mujhe samjhāo mat ārām karne do
jahāñ tak āḳhirī manzil hai merī saath do merā sahārā do
mire a.asāb ko ārām karne do
mujhe merī hī duniyā meñ bhaTakne do
yahī kaafī hai mere vāste tum saath ho mere
mujhe ab kuchh na samjhao na kuchh bhi yaad dilwao
tumhaari kya samajh mein aaega main kaun si duniya mein rahti hun
main kitni muzmahil hun khoi khoi hun
durushti se mujhe samjhao mat main kaun hun
tum se mera rishta hai kya ye kaun sa ghar hai kahan hain sab
main bebas hun mujhe kyon yaad hai aur baqi manzar dhundle dhundle hain
laDakpan mein kabhi ham-joliyon ke sath baaten karti rahti hun
kabhi bhai bahan ke sath bachpan khelta hai ghar ke aangan mein
kabhi dulhan bani main KHushbuon mein Dubi hoti hun
mujhe samjhao mat ye sara dhoka hai
mujhe DanTo nahin main kya karun bolo
mere bas mein nahin hai kuchh
mujhe samjhao mat
bahlao
mera hath thamo pyar se mathe pe bosa do
yahi kafi hai mere waste tum pas ho mere
mujhe samjhao mat aaram karne do
jahan tak aaKHiri manzil hai meri sath do mera sahaara do
mere aasab ko aaram karne do
mujhe meri hi duniya mein bhaTakne do
yahi kafi hai mere waste tum sath ho mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.