amar
ka.ī saal hue merī zindagī
ḳhizāñ-ālūd vīrān saḌkoñ
pattharoñ se banī tārīk ḳhālī galiyoñ
sunsān jangaloñ
aur jaaḌe meñ jamte kaale dariyāoñ ke kināre guzar rahī hai
vahī dariyā jin meñ maiñ ne
aqīdatoñ meñ bāñdhe ka.ī ta.avīz samjhaute ke naam par bahā diye
vahī saḌkeñ jin kī vīrānī ke sipurd maiñ ne
mohabbatoñ meñ bāñdhe ka.ī va.ade kiye
vahī galiyāñ jin ke pattharoñ pe maiñ ne
ḳhvāhish kī har shakl toḌ dī
vahī jangal jis kī ḳhāmoshī meñ maiñ ne
har sadā.ī kī duā dafnā dī
magar kaale dariyā akasr mujhe ā.īna dikhāne aate haiñ
jis meñ yād-dāshtoñ se ubharte chehroñ ke naqshe bante haiñ
phir mausamī bārishoñ kā koī relā aatā hai
aur sabhī guzashtagān ko palak jhapke bahā le jaatā hai
phir tanhā.ī ke sāhiloñ par mere pair
honiyoñ kī bāqiyāt se Takrāte haiñ
kuchh vajūd maḳhmalīñ ehsās baḳhshte haiñ
baaqī ke asbāb paañv meñ ḳhaar kī tarah chubhte haiñ
nange paañv zindagī guzārnā āsān nahīñ
ki ruuh kī fanā kā amal kahte haiñ
paañv ke angūThe se shurūa hogā
jaan nikalne kā manzar-nāma jitnā bhī haul-nāk ho
kuchh rūheñ kabhī fanā nahīñ hotīñ
aur bechainī un meñ panāh DhūñD letī hai
kai sal hue meri zindagi
KHizan-alud viran saDkon
pattharon se bani tarik KHali galiyon
sunsan jangalon
aur jaDe mein jamte kale dariyaon ke kinare guzar rahi hai
wahi dariya jin mein main ne
aqidaton mein bandhe kai tawiz samjhaute ke nam par baha diye
wahi saDken jin ki virani ke sipurd main ne
mohabbaton mein bandhe kai wade kiye
wahi galiyan jin ke pattharon pe main ne
KHwahish ki har shakl toD di
wahi jangal jis ki KHamoshi mein main ne
har sadai ki dua dafna di
magar kale dariya akasr mujhe aaina dikhane aate hain
jis mein yaad-dashton se ubharte chehron ke naqshe bante hain
phir mausami barishon ka koi rela aata hai
aur sabhi guzashtagan ko palak jhapke baha le jata hai
phir tanhai ke sahilon par mere pair
honiyon ki baqiyat se Takraate hain
kuchh wajud maKHmalin ehsas baKHshte hain
baqi ke asbab panw mein KHar ki tarah chubhte hain
nange panw zindagi guzarna aasan nahin
ki ruh ki fana ka amal kahte hain
panw ke anguThe se shurua hoga
jaan nikalne ka manzar-nama jitna bhi haul-nak ho
kuchh ruhen kabhi fana nahin hotin
aur bechaini un mein panah DhunD leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.