amn ke naghme gaenge
amn ke naġhme gā.eñge
pyaar ke giit sunā.eñge
bulbul haiñ ham ek chaman ke
mustaqbil meñ apne vatan ke
pakke haiñ ham apnī lagan ke
amn ke naġhme gā.eñge
pyaar ke giit sunā.eñge
achchhā.ī ko aam kareñge
nekī kā har kaam kareñge
duniyā meñ ham naam kareñge
amn ke naġhme gā.eñge
pyaar ke giit sunā.eñge
ab koī nāshād na hogā
ghar koī barbād na hogā
gulshan meñ sayyād na hogā
amn ke naġhme gā.eñge
pyaar ke giit sunā.eñge
ulfat ham bharpūr kareñge
dil se nafrat duur kareñge
añdhiyāre meñ nuur kareñge
amn ke naġhme gā.eñge
pyaar ke giit sunā.eñge
dahshat-gardī ko hai miTānā
pyaar kā ab hai phuul khilānā
dhartī ko hai svarg banānā
amn ke naġhme gā.eñge
pyaar ke giit sunā.eñge
amn ke naghme gaenge
pyar ke git sunaenge
bulbul hain hum ek chaman ke
mustaqbil mein apne watan ke
pakke hain hum apni lagan ke
amn ke naghme gaenge
pyar ke git sunaenge
achchhai ko aam karenge
neki ka har kaam karenge
duniya mein hum nam karenge
amn ke naghme gaenge
pyar ke git sunaenge
ab koi nashad na hoga
ghar koi barbaad na hoga
gulshan mein sayyaad na hoga
amn ke naghme gaenge
pyar ke git sunaenge
ulfat hum bharpur karenge
dil se nafrat dur karenge
andhiyare mein nur karenge
amn ke naghme gaenge
pyar ke git sunaenge
dahshat-gardi ko hai miTana
pyar ka ab hai phul khilana
dharti ko hai swarg banana
amn ke naghme gaenge
pyar ke git sunaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.