amn ki faKHtaen
amn kī fāḳhtā.eñ uḌā.eñge ham
saarī duniyā ko jannat banā.eñge ham
phuul khilte raheñ diip jalte raheñ
aisī rāhoñ pe sab log chalte raheñ
baat apnī sabhī ko gavārā lage
zindagī yuuñ ji.eñ bhā.ī-chāra lage
ghar kisī kā jale aa bujhā.eñge ham
amn kī fāḳhtā.eñ uḌā.eñge ham
bāñdh le har kise pyaar kī Doriyāñ
paaT deñ nafratoñ kī sabhī khā.iyāñ
goliyāñ na kabhī sansanā.eñ kahīñ
gandh bārūd kī aa na paa.e kahīñ
ek din daur aisā bhī lā.eñge ham
amn kī fāḳhtā.eñ uḌā.eñge ham
saarī duniyā ko jannat banā.eñge ham
amn ki faKHtaen uDaenge hum
sari duniya ko jannat banaenge hum
phul khilte rahen dip jalte rahen
aisi rahon pe sab log chalte rahen
baat apni sabhi ko gawara lage
zindagi yun jien bhai-chaara lage
ghar kisi ka jale aa bujhaenge hum
amn ki faKHtaen uDaenge hum
bandh le har kise pyar ki Doriyan
paT den nafraton ki sabhi khaiyan
goliyan na kabhi sansanaen kahin
gandh barud ki aa na pae kahin
ek din daur aisa bhi laenge hum
amn ki faKHtaen uDaenge hum
sari duniya ko jannat banaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.