an-jaana dukh
hare-bhare lahrāte pattoñ vaalā peḌ
indar se kis darja bodā kitnā khokhlā ho saktā hai
mujh se pūchho
maiñ ik aise hī chhitnār ke nīche baiThā
us kī chhāñv se apne safar kī
dhuup kā dukhḌā phuul rahā thā
aane vaale vaqt kī ThanDī giilī miTTī rol rahā thā
apne aap se bol rahā thā
maiñ bhī kitnā ḳhush-qismat huuñ
jīvan kī sunsān Dagar par
mere kitne yaar khaḌe haiñ peḌ kī sūrat
itne meñ ik jhoñkā aayā
ye jhoñkā chāñdī kī kaan ke andar se ho kar aayā thā
ek hī pal meñ
peḌ kī chhāl ne rañgat badlī
ek hī pal meñ
har patte kī shakl huī maTyālī gadlī
shaañ shaañ kartī shāḳhoñ meñ ik zahrīlī sargoshī jaagī
chhāñv chhaT kar peḌ ke tan kī jānib bhāgī
dil ye manzar dekh ke sahmā kāñpā royā
chāroñ aur se uThtī ik anjāne dukh kī dhuul meñ khoyā
zahar sā ik rag rag meñ samāyā
itne meñ ik aur jhūmtā jhoñkā aayā
ye jhoñkā ḳhud-ġharzī ke kohsār pe mañDlā kar aayā thā
bas itnā hī yaad hai mujh ko
kaise aur kab peḌ girā ye peḌ se pūchho
mujhe nikālo
us buude aur khokhle peḌ ke nīche dab kar
mere saath mirā ehsās bhī mar jā.egā
jo bhī ye manzar dekhegā Dar jā.egā
dekhne vāloñ ko is ḳhauf se is sadme is ġham se bachā lo
mujhe nikālo
ā.inda maiñ chhitnār ko apnā yaar nahīñ samjhūñgā
kabhī kabhī mil jaane vaalī chhāñv ko pyaar nahīñ samjhūñgā
hare-bhare lahraate patton wala peD
indar se kis darja boda kitna khokhla ho sakta hai
mujh se puchho
main ek aise hi chhitnar ke niche baiTha
us ki chhanw se apne safar ki
dhup ka dukhDa phul raha tha
aane wale waqt ki ThanDi gili miTTi rol raha tha
apne aap se bol raha tha
main bhi kitna KHush-qismat hun
jiwan ki sunsan Dagar par
mere kitne yar khaDe hain peD ki surat
itne mein ek jhonka aaya
ye jhonka chandi ki kan ke andar se ho kar aaya tha
ek hi pal mein
peD ki chhaal ne rangat badli
ek hi pal mein
har patte ki shakl hui maTyali gadli
shan shan karti shaKHon mein ek zahrili sargoshi jagi
chhanw chhaT kar peD ke tan ki jaanib bhagi
dil ye manzar dekh ke sahma kanpa roya
chaaron aur se uThti ek anjaane dukh ki dhul mein khoya
zahar sa ek rag rag mein samaya
itne mein ek aur jhumta jhonka aaya
ye jhonka KHud-gharzi ke kohsar pe manDla kar aaya tha
bas itna hi yaad hai mujh ko
kaise aur kab peD gira ye peD se puchho
mujhe nikalo
us bude aur khokhle peD ke niche dab kar
mere sath mera ehsas bhi mar jaega
jo bhi ye manzar dekhega Dar jaega
dekhne walon ko is KHauf se is sadme is gham se bacha lo
mujhe nikalo
aainda main chhitnar ko apna yar nahin samjhunga
kabhi kabhi mil jaane wali chhanw ko pyar nahin samjhunga
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 224)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.