an-kahi kahani
maiñ ek kahānī kahnā chāhtā huuñ
lekin lafz gūñge ho ga.e haiñ
aur un kī āñkhoñ par paTTī bañdhī hai
giit ras aur manzar rang se ḳhālī
fazā meñ habs aur diloñ meñ murdanī hai
maiñ ek zamāne se ye kahānī likhnā chāhtā huuñ
lekin lafz gūñge ho ga.e haiñ
aur un ke haath bañdhe haiñ
main ek kahani kahna chahta hun
lekin lafz gunge ho gae hain
aur un ki aankhon par paTTi bandhi hai
git ras aur manzar rang se KHali
faza mein habs aur dilon mein murdani hai
main ek zamane se ye kahani likhna chahta hun
lekin lafz gunge ho gae hain
aur un ke hath bandhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.