ana ka kaun sa chehra tha wo
anā kā kaun sā chehra thā vo
maiñ ye samajh paayā nahīñ huuñ aaj tak
ḳhabar ye aa.ī thī
tabī'at raat se behtar hai kuchh is vaqt un kī
mujhe ye baat sun kar to ḳhushī se jhuum uThnā chāhiye thā
magar maiñ chup khaḌā thā
ye shāyad vo nahīñ thā jo maiñ sunñā chāhtā thā
to kyā is ḳhaas pal meñ
maiñ un kī maut kā ḳhvāhāñ thā
aur vo bhī is zarā sī baat par
ki maiñ ne raat yūñhī dostoñ ke biich meñ ye kah diyā thā
mujhe āsār kuchh achchhe nahīñ lagte
savere tak bhī ye zinda agar rah jaa.eñ to jaano
kahā puurā na hone kī mirī
be'izzatī
kisī kī jaan se baḌh kar bhī ho saktī hai
mujh ko ye nahīñ mā'lūm thā
ana ka kaun sa chehra tha wo
main ye samajh paya nahin hun aaj tak
KHabar ye aai thi
tabi'at raat se behtar hai kuchh is waqt un ki
mujhe ye baat sun kar to KHushi se jhum uThna chahiye tha
magar main chup khaDa tha
ye shayad wo nahin tha jo main sunna chahta tha
to kya is KHas pal mein
main un ki maut ka KHwahan tha
aur wo bhi is zara si baat par
ki main ne raat yunhi doston ke bich mein ye kah diya tha
mujhe aasar kuchh achchhe nahin lagte
sawere tak bhi ye zinda agar rah jaen to jaano
kaha pura na hone ki meri
be'izzati
kisi ki jaan se baDh kar bhi ho sakti hai
mujh ko ye nahin ma'lum tha
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 161)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.