andaza
mujhe hargiz ye andāza nahīñ thā
ki jab tum ziina ziina dil meñ utroge
to us ke mausamoñ ko ek lahze meñ
hadoñ se bhī sivā masrūr aur ranjūr kar doge
tum aaoge to jannat aur jahannum saath lāoge
ḳhushī kī ābshāreñ ġham ke jharne saath phūTeñge
mire phailā.e dāman meñ achānak hī
tasavvur se kahīñ aage kā sukh aur dukh atā hogā
zarā socho matā-e-jāñ kisī ke saath duniyā meñ
agar is se burā hogā to kyā hogā
mujhe hargiz ye andaza nahin tha
ki jab tum zina zina dil mein utroge
to us ke mausamon ko ek lahze mein
hadon se bhi siwa masrur aur ranjur kar doge
tum aaoge to jannat aur jahannum sath laoge
KHushi ki aabshaaren gham ke jharne sath phuTenge
mere phailae daman mein achanak hi
tasawwur se kahin aage ka sukh aur dukh ata hoga
zara socho mata-e-jaan kisi ke sath duniya mein
agar is se bura hoga to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.