andesha
abhī fazāoñ meñ taarī hai muztarib sā sukūñ
abhī ḳhalāoñ meñ āvāz guuñj jaatī hai
abhī to rāhguzar par qadam jame bhī nahīñ
abhī to kāñpne lagtā hai dil har aahaT par
safar tavīl bhayānak fazā.eñ dil majbūr
irāde jaise musāfir koī thakan se chuur
mujhe ye Dar hai kahīñ tū bhī saath chhoḌ na de
junūñ meñ aise hazāroñ maqām aa.e the
qadam qadam pe jahāñ nuqra.ī tabassum thā
jahāñ pe husn thā naġhma thā aur tarannum thā
ba-qaid-e-hosh hazāroñ hī jaam aa.e the
harīm-e-nāz se kitne salām aa.e the
vafā ke naam pe lākhoñ payām aa.e the
magar ye husn na thā husn kā dikhāvā thā
vafā ke naam pe jaise hasīn dhokā thā
na jaane kyoñ tirī bātoñ pe e'tibār sā hai
mujhe ye Dar hai kahīñ tū bhī saath chhoḌ na de
abhī ḳhalāoñ meñ āvāz guuñj jaatī hai
abhi fazaon mein tari hai muztarib sa sukun
abhi KHalaon mein aawaz gunj jati hai
abhi to rahguzar par qadam jame bhi nahin
abhi to kanpne lagta hai dil har aahaT par
safar tawil bhayanak fazaen dil majbur
irade jaise musafir koi thakan se chur
mujhe ye Dar hai kahin tu bhi sath chhoD na de
junun mein aise hazaron maqam aae the
qadam qadam pe jahan nuqrai tabassum tha
jahan pe husn tha naghma tha aur tarannum tha
ba-qaid-e-hosh hazaron hi jam aae the
harim-e-naz se kitne salam aae the
wafa ke nam pe lakhon payam aae the
magar ye husn na tha husn ka dikhawa tha
wafa ke nam pe jaise hasin dhoka tha
na jaane kyon teri baaton pe e'tibar sa hai
mujhe ye Dar hai kahin tu bhi sath chhoD na de
abhi KHalaon mein aawaz gunj jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.