andesha
badliyāñ
chhā.ī huī haiñ chār-sū
ḳhauf kī
vahshat kī
dekho kis tarah
aur phir
ye Dhā rahī haiñ
nau’-e-insāñ par sitam
aadmī Dar se simaTtā jā rahā hai
lahza lahza
jaise vo tanhā ho rāh-e-zīst meñ
us ko Dar hai
jism us kā ho na jaa.e munjamid
ab ke barkhā meñ kahīñ
barf-bārī ḳhauf-o-dahshat kī na ho
badliyan
chhai hui hain chaar-su
KHauf ki
wahshat ki
dekho kis tarah
aur phir
ye Dha rahi hain
nau’-e-insan par sitam
aadmi Dar se simaTta ja raha hai
lahza lahza
jaise wo tanha ho rah-e-zist mein
us ko Dar hai
jism us ka ho na jae munjamid
ab ke barkha mein kahin
barf-bari KHauf-o-dahshat ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.