andesha
kis qadar shādāb thā taaza guloñ se ye chaman
kis qadar mahkī huī thī dosto ye anjuman
aaj mahfil ke magar badle hue hālāt haiñ
in nigāhoñ meñ ka.ī jalte hue zarrāt haiñ
sīna-e-tahzīb se girne lagā hai phir lahū
bhar na jaa.eñ zahr-e-qātil se kahīñ jām-o-subū
uḌ na jaa.e chehra-e-insāniyat se rang-o-bū
hamdamo arzāñ nahīñ hotī vatan kī aabrū
apnī āzādī sunahre ḳhvāb kī ta.abīr hai
kitnī hī qurbāniyoñ kī boltī tasvīr hai
azmat-e-hindostāñ yaaro kahīñ kam ho na jaa.e
dosto ye raushnī zulmat meñ phir zam ho na jaa.e
dāman-e-gul ḳhuun kī būñdoñ se phir nam ho na jaa.e
sehn-e-gulshan meñ kahīñ nam-dīda shabnam ho na jaa.e
saaz ke pardoñ meñ zam naġhmāt kī ho zindagī
phir nasīm-e-sub.h se aa.e guloñ meñ tāzgī
phuul aur kāñTe raheñge gulsitāñ ke saath saath
chāñd aur taare raheñge āsmāñ ke saath saath
amn kī taqdīr hai hindostāñ ke saath saath
an-ginat phūloñ se khiltā hī rahegā gulsitāñ
ruk nahīñ saktā kabhī ye zindagī kā kārvāñ
kis qadar shadab tha taza gulon se ye chaman
kis qadar mahki hui thi dosto ye anjuman
aaj mahfil ke magar badle hue haalat hain
in nigahon mein kai jalte hue zarraat hain
sina-e-tahzib se girne laga hai phir lahu
bhar na jaen zahr-e-qatil se kahin jam-o-subu
uD na jae chehra-e-insaniyat se rang-o-bu
hamdamo arzan nahin hoti watan ki aabru
apni aazadi sunahre KHwab ki tabir hai
kitni hi qurbaniyon ki bolti taswir hai
azmat-e-hindostan yaro kahin kam ho na jae
dosto ye raushni zulmat mein phir zam ho na jae
daman-e-gul KHun ki bundon se phir nam ho na jae
sehn-e-gulshan mein kahin nam-dida shabnam ho na jae
saz ke pardon mein zam naghmat ki ho zindagi
phir nasim-e-subh se aae gulon mein tazgi
phul aur kanTe rahenge gulsitan ke sath sath
chand aur tare rahenge aasman ke sath sath
amn ki taqdir hai hindostan ke sath sath
an-ginat phulon se khilta hi rahega gulsitan
ruk nahin sakta kabhi ye zindagi ka karwan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.