andeshe
jis dil meñ ḳhudā kā ḳhauf rahe bātil se hirāsāñ kyā hogā
jo maut ko ḳhud labbaik kahe vo haq se gurezāñ kyā hogā
ā.īn-e-chaman-bandī bhī nahīñ dastūr-e-navā-sanjī bhī nahīñ
ab is se ziyāda gulshan kā shīrāza pareshāñ kyā hogā
arbāb-e-mohabbat se ye kaho shikve na kareñ kuchh kaam kareñ
jo zulm-o-sitam par itrā.e shikvoñ se pashemāñ kyā hogā
jo log havā ke sāthī haiñ vo apne ḳhudā ke bāġhī haiñ
is jurm-e-baġhāvat se baḌh kar īmān kā nuqsāñ kyā hogā
muddat se kashākash jaarī hai sayyād meñ aur gul-chīnoñ meñ
tanzīm-e-gulistāñ hone tak anjām-e-gulistāñ kyā hogā
jis kashtī kī patvāroñ ko ḳhud mallāhoñ ne toḌā ho
us kashtī ke ham-dardoñ ko phir shikva-e-tūfāñ kyā hogā
jis choT se dil meñ halchal hai aahoñ meñ vo zāhir kyā hogī
siine meñ jo mahshar barpā hai ashkoñ se numāyāñ kyā hogā
is shām-e-ḳhizāñ ne ab tak to har tarh se parda-dārī kī
jab sub.h-e-bahār aa jā.egī ai tangī-e-dāmāñ kyā hogā
jalvat ki ḳhalvat ho 'māhir' dil khoyā khoyā rahtā hai
is ġham kī talāfī kab hogī is dard kā darmāñ kyā hogā
jis dil mein KHuda ka KHauf rahe baatil se hirasan kya hoga
jo maut ko KHud labbaik kahe wo haq se gurezan kya hoga
aain-e-chaman-bandi bhi nahin dastur-e-nawa-sanji bhi nahin
ab is se ziyaada gulshan ka shiraaza pareshan kya hoga
arbab-e-mohabbat se ye kaho shikwe na karen kuchh kaam karen
jo zulm-o-sitam par itrae shikwon se pasheman kya hoga
jo log hawa ke sathi hain wo apne KHuda ke baghi hain
is jurm-e-baghawat se baDh kar iman ka nuqsan kya hoga
muddat se kashakash jari hai sayyaad mein aur gul-chinon mein
tanzim-e-gulistan hone tak anjam-e-gulistan kya hoga
jis kashti ki patwaron ko KHud mallahon ne toDa ho
us kashti ke ham-dardon ko phir shikwa-e-tufan kya hoga
jis choT se dil mein halchal hai aahon mein wo zahir kya hogi
sine mein jo mahshar barpa hai ashkon se numayan kya hoga
is sham-e-KHizan ne ab tak to har tarh se parda-dari ki
jab subh-e-bahaar aa jaegi ai tangi-e-daman kya hoga
jalwat ki KHalwat ho 'mahir' dil khoya khoya rahta hai
is gham ki talafi kab hogi is dard ka darman kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.