andha kuan
mere ehsāsāt kī gahrā.iyoñ meñ hai nihāñ
be-tavajjoh qabr ke mānind ik andhā kuaañ
is kī tah meñ āb-e-shīrīñ kā koī qatra nahīñ
faiz is se rūh-e-tishna ko kabhī pahuñchā nahīñ
gāhe-gāhe gūñjtī hai is meñ merī hī sadā
jis se ho jaatā hai ḳhud mujh par hī taarī ḳhauf sā
hausloñ ko nīm-jāñ kartī hai jis kī bāzgasht
dūr-tar hotā chalā jaatā hai imkānoñ kā dasht
mere ehsasat ki gahraiyon mein hai nihan
be-tawajjoh qabr ke manind ek andha kuan
is ki tah mein aab-e-shirin ka koi qatra nahin
faiz is se ruh-e-tishna ko kabhi pahuncha nahin
gahe-gahe gunjti hai is mein meri hi sada
jis se ho jata hai KHud mujh par hi tari KHauf sa
hauslon ko nim-jaan karti hai jis ki bazgasht
dur-tar hota chala jata hai imkanon ka dasht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.