andhe aaine ka qatl
daf.atan aisā lagā
mere saare jism par āñkheñ hī āñkheñ haiñ
mujassam aañkh huuñ maiñ
maiñ ne dekhā
us ne thoḌī der khiḌkī par Thahar kar
apnī āñkheñ chamchamā.īñ
aur phir jaalī ko bosa de ke vo
aage baḌhī
rāste meñ kāñch kī dīvār thī
(aur sach ye hai ki āḳhir vaqt tak qaa.em rahī vo)
phir bhī jaane kis tarah
palkeñ jhapakte hī vo andar aa ga.ī
andar aa kar
us ne siine meñ mire ḳhanjar utārā
dekh lo
ab tak ubaltā hai mire siine se
chāñdī kā lahū
dafatan aisa laga
mere sare jism par aankhen hi aankhen hain
mujassam aankh hun main
main ne dekha
us ne thoDi der khiDki par Thahar kar
apni aankhen chamchamain
aur phir jali ko bosa de ke wo
aage baDhi
raste mein kanch ki diwar thi
(aur sach ye hai ki aaKHir waqt tak qaem rahi wo)
phir bhi jaane kis tarah
palken jhapakte hi wo andar aa gai
andar aa kar
us ne sine mein mere KHanjar utara
dekh lo
ab tak ubalta hai mere sine se
chandi ka lahu
- Book : kamaan (Pg. 354)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.