andhe kuen ki kahani
maiñ ne bachpan meñ sunī thī
andhe kueñ kī kahānī
jab kabhī muddatoñ meñ koī qāfila bhaTak kar
bayābān jangaloñ meñ jā nikaltā
aur paanī kī talāsh meñ yahāñ vahāñ
bhaTakte hue use miltā
ek bahut gahrā andhā kuaañ
aur koī musāfir fitrī tajassus se majbūr ho kar
us andhe kueñ meñ utar jaatā
tab use vahāñ miltī
ek shahzādī muddatoñ se qaid
jise koī dev sote meñ uḌā kar le aayā thā
aur chhupā diyā thā is andhe kueñ meñ
zindagī bhar ke liye
zindagī ke chand lavāzimāt samet
taaki vo zinda rahe
kisī na kisī sūrat andhe kueñ to
aaj bhī haiñ magar vo ab jangaloñ meñ nahīñ hote
taqdīr kī gardish
mujhe bhī
aise hī vīrān sannāToñ meñ
le aa.ī hai
lekin ab
qāfile nahīñ bhaTakte
aur maiñ bhī koī
shahzādī nahīñ huuñ
main ne bachpan mein suni thi
andhe kuen ki kahani
jab kabhi muddaton mein koi qafila bhaTak kar
bayaban jangalon mein ja nikalta
aur pani ki talash mein yahan wahan
bhaTakte hue use milta
ek bahut gahra andha kuan
aur koi musafir fitri tajassus se majbur ho kar
us andhe kuen mein utar jata
tab use wahan milti
ek shahzadi muddaton se qaid
jise koi dew sote mein uDa kar le aaya tha
aur chhupa diya tha is andhe kuen mein
zindagi bhar ke liye
zindagi ke chand lawazimat samet
taki wo zinda rahe
kisi na kisi surat andhe kuen to
aaj bhi hain magar wo ab jangalon mein nahin hote
taqdir ki gardish
mujhe bhi
aise hi viran sannaTon mein
le aai hai
lekin ab
qafile nahin bhaTakte
aur main bhi koi
shahzadi nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.