andher-nagar mein
sāthī haath pe haath dhare ho
kaun sā sapnā dekh rahe ho
kaun sī āshā.eñ haiñ jin se
man hī man meñ khel rahe ho
yaas kī gahrī tārīkī meñ
rah-rah kar palkoñ se apnī
kaise aañsū poñchh rahe ho
dhuñdlī dhuñdlī ye nazreñ haiñ
man ke taar bhī kaañp rahe haiñ
sāthī haath pe haath dhare ho
ġham ke bādal chhaT na sakeñge
raat añdherī yūñhī rahegī
paap ke din bhī kaT na sakeñge
haa.il haiñ ye sañg-e-girāñ jo
raah se ye bhī haT na sakeñge
apne ġham meñ aisā kho.e
TuuT gayā duniyā se naatā
duniyā meñ dukh vaale bhī haiñ
dukh vāloñ ko samjhā hotā
kab sūraj nikle kab chamke
ho jaa.e har-sū ujyārā
jaag uThe sansār hamārā
ye bhī tum ne sochā hotā
koī nahīñ andher-nagar meñ
diip jalā.e man mandir meñ
sathi hath pe hath dhare ho
kaun sa sapna dekh rahe ho
kaun si aashaen hain jin se
man hi man mein khel rahe ho
yas ki gahri tariki mein
rah-rah kar palkon se apni
kaise aansu ponchh rahe ho
dhundli dhundli ye nazren hain
man ke tar bhi kanp rahe hain
sathi hath pe hath dhare ho
gham ke baadal chhaT na sakenge
raat andheri yunhi rahegi
pap ke din bhi kaT na sakenge
hail hain ye sang-e-giran jo
rah se ye bhi haT na sakenge
apne gham mein aisa khoe
TuT gaya duniya se nata
duniya mein dukh wale bhi hain
dukh walon ko samjha hota
kab suraj nikle kab chamke
ho jae har-su ujyara
jag uThe sansar hamara
ye bhi tum ne socha hota
koi nahin andher-nagar mein
dip jalae man mandir mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.