andhera aur ujala
raakh kā Dher huā jaatā hai derīna mohabbat kā alaav
tīrgī chhāne ko hai saa.e ye mañDlāte haiñ
bazm-e-imkāñ meñ abhī se hai añdherā har-sū
aur us aag se jī Dartā hai
jise paalā thā mirī ruuh kī tanhā.ī ne
thak chukā un ko shikāyat bhī nahīñ
ab faqat siine meñ armānoñ kī afsurda mahak baaqī hai
merī āñkhoñ meñ ab aañsū hoñ yā jalte sho.ale
ḳhatm ho jā.egā ye silsila-e-ahd-e-vafā
zindagī ab to bikhar jā.egī TuuTe hue tāroñ kī tarah
tīrgī chhāne ko hai raah pe qadmoñ ke nishāñ dhuñdle hue jaate haiñ
muzmahil hai rag-e-ehsās ki vo shiddat-e-ehsās yahāñ Duub ga.ī
manzileñ kaaT ke is manzil-e-nāyāb tak aa pahuñchā huuñ
maiñ jahāñ kho sā gayā huuñ vahī nākāmī kī manzil aa.ī
merā anjām to sadiyoñ ke siyah daaġh liye aaya hai
kahiye is dard ko kis dard se Takrānā hai
kitne hī parda-e-zulmāt jinheñ chaak kareñge ham log
tham ke ik baar ye tūfān agar tez huā
kitne hī koh-e-girāñ ḳhaak meñ mil jā.eñge
zindagī dard ke hāthoñ se sañvar saktī hai
raushnī parda-e-zulmat se ubhar saktī hai
rakh ka Dher hua jata hai derina mohabbat ka alaw
tirgi chhane ko hai sae ye manDlate hain
bazm-e-imkan mein abhi se hai andhera har-su
aur us aag se ji Darta hai
jise pala tha meri ruh ki tanhai ne
thak chuka un ko shikayat bhi nahin
ab faqat sine mein armanon ki afsurda mahak baqi hai
meri aankhon mein ab aansu hon ya jalte shoale
KHatm ho jaega ye silsila-e-ahd-e-wafa
zindagi ab to bikhar jaegi TuTe hue taron ki tarah
tirgi chhane ko hai rah pe qadmon ke nishan dhundle hue jate hain
muzmahil hai rag-e-ehsas ki wo shiddat-e-ehsas yahan Dub gai
manzilen kaT ke is manzil-e-nayab tak aa pahuncha hun
main jahan kho sa gaya hun wahi nakaami ki manzil aai
mera anjam to sadiyon ke siyah dagh liye aaya hai
kahiye is dard ko kis dard se Takrana hai
kitne hi parda-e-zulmat jinhen chaak karenge hum log
tham ke ek bar ye tufan agar tez hua
kitne hi koh-e-giran KHak mein mil jaenge
zindagi dard ke hathon se sanwar sakti hai
raushni parda-e-zulmat se ubhar sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.