andhera
kitnā gambhīr ghaTā-Top añdherā hai yahāñ
dāġh-e-dil se bhī ujālā nahīñ hone paatā
sho’la-e-āh bhī detā nahīñ lau halkī sī
zindagī jaltī hai mash'al nahīñ jaltī koī
aañsū pighlī huī ātish kī tarah bahte haiñ
aisī ātish ki nahīñ jis meñ zarā sī bhī damak
par tapish aisī ki dozaḳh bhī jhulas kar rah jaa.e
kaisā andher hai vīrānī hai añdhiyārā hai
raat hī raat hai rātoñ kā magar husn nahīñ
koī taarā nahīñ jugnū nahīñ mahtāb nahīñ
is jazīre meñ mirā ghar hai siyah-baḳhtī hai
aur atrāf jazīre ke hai kaalā sāgar
Duub jaate haiñ safīne jahāñ ummīdoñ ke
kitnā gambhīr ghaTā-Top añdherā hai yahāñ
kitna gambhir ghaTa-Top andhera hai yahan
dagh-e-dil se bhi ujala nahin hone pata
sho’la-e-ah bhi deta nahin lau halki si
zindagi jalti hai mash'al nahin jalti koi
aansu pighli hui aatish ki tarah bahte hain
aisi aatish ki nahin jis mein zara si bhi damak
par tapish aisi ki dozaKH bhi jhulas kar rah jae
kaisa andher hai virani hai andhiyara hai
raat hi raat hai raaton ka magar husn nahin
koi tara nahin jugnu nahin mahtab nahin
is jazire mein mera ghar hai siyah-baKHti hai
aur atraf jazire ke hai kala sagar
Dub jate hain safine jahan ummidon ke
kitna gambhir ghaTa-Top andhera hai yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.