andheri basti
vaqt shāhid hai ki har daur meñ tahzīb kī maañg
qatl-gāhoñ ke tabassum se shafaq-rang rahī
jin ke ḳhuuñ se hai ruḳh-e-zīst kī rangat un kī
bhuuk iflās kī nāgin se sadā jang rahī
jin kī mehnat se hai mahloñ ke makīnoñ kā ġhurūr
zindagī un ke liye dukh kī añdherī bastī
luuT qudrat kī mashiyyat hai ḳhudā kā manshā
is khule jhuuT kī tā.īd nahīñ ho saktī
dhuup kī ātishīñ chādar meñ jhulastā huā jism
kitnī sadiyoñ se hai tārīḳh-e-tashaddud kā jamāl
hukm hai maqtal-o-zindāñ ke nigahbānoñ kā
ādamiyyat ke taqaddus kā uThāo na savāl
ishrat-e-zīst muqayyad rahī aivānoñ meñ
ahl-e-mehnat ke liye dard kā sarmāya hai
chand afrād ne fitrat kā taqāzā kah kar
zulm ko ishq kī taqdīr banā rakkhā hai
ḳhauf ke abr se insāf kī shabnam barse
is haqīqat kī haqīqat ko koī kyā samjhe
lūTne vaale ḳhudāyān-e-jahāñ Thahre haiñ
is tamaddun ke taqaddus ko bhalā kyā kahiye
jhuuT har sach kī hai buniyād jahāñ kyā kahiye
jurm iz.hār-e-sadāqat hai yahāñ kyā kahiye
waqt shahid hai ki har daur mein tahzib ki mang
qatl-gahon ke tabassum se shafaq-rang rahi
jin ke KHun se hai ruKH-e-zist ki rangat un ki
bhuk iflas ki nagin se sada jang rahi
jin ki mehnat se hai mahlon ke makinon ka ghurur
zindagi un ke liye dukh ki andheri basti
luT qudrat ki mashiyyat hai KHuda ka mansha
is khule jhuT ki taid nahin ho sakti
dhup ki aatishin chadar mein jhulasta hua jism
kitni sadiyon se hai tariKH-e-tashaddud ka jamal
hukm hai maqtal-o-zindan ke nigahbanon ka
aadamiyyat ke taqaddus ka uThao na sawal
ishrat-e-zist muqayyad rahi aiwanon mein
ahl-e-mehnat ke liye dard ka sarmaya hai
chand afrad ne fitrat ka taqaza kah kar
zulm ko ishq ki taqdir bana rakkha hai
KHauf ke abr se insaf ki shabnam barse
is haqiqat ki haqiqat ko koi kya samjhe
luTne wale KHudayan-e-jahan Thahre hain
is tamaddun ke taqaddus ko bhala kya kahiye
jhuT har sach ki hai buniyaad jahan kya kahiye
jurm izhaar-e-sadaqat hai yahan kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.